manda hai iKHtilat ka bazar aaj-kal
manda hai iḳhtilāt kā bāzār āj-kal
lagtā nahīñ hai dil kā ḳharīdār āj-kal
is mohlat-e-do-roza meñ ḳhatre hazār haiñ
achchhā hai rah sako jo ḳhabar-dār āj-kal
aubāshoñ hī ke ghar tujhe paane lage haiñ roz
maarā paḌegā koī talabgār āj-kal
milne kī raat dāḳhil-e-ayyām kyā nahīñ
barsoñ hue kahāñ ta.iiñ ai yaar āj-kal
gulzār ho rahe hai mire dam se kū-e-yār
ik rang par hai dīda-e-ḳhūñ-bār āj-kal
tā-shām apnā kaam khiñche kyūñke dekhiye
paḌtī nahīñ hai jī ko jafā-kār āj-kal
ka.abe talak to sunte haiñ vīrāna-o-ḳharāb
ābād hai so ḳhāna-e-ḳhummār āj-kal
Thokar diloñ ko lagne lagī hai ḳhirām meñ
lāvegī ik balā tirī raftār āj-kal
aisā hī muġhbachoñ meñ jo aanā hai shaiḳh jī
to jā rahe haiñ jubba-o-dastār āj-kal
hairān maiñ hī haal kī tadbīr meñ nahīñ
har ik ko shahr meñ hai ye āzār āj-kal
achchhā nahīñ hai 'mīr' kā ahvāl in dinoñ
ġhālib ki ho chukegā ye bīmār āj-kal
manda hai iKHtilat ka bazar aaj-kal
lagta nahin hai dil ka KHaridar aaj-kal
is mohlat-e-do-roza mein KHatre hazar hain
achchha hai rah sako jo KHabar-dar aaj-kal
aubashon hi ke ghar tujhe pane lage hain roz
mara paDega koi talabgar aaj-kal
milne ki raat daKHil-e-ayyam kya nahin
barson hue kahan tain ai yar aaj-kal
gulzar ho rahe hai mere dam se ku-e-yar
ek rang par hai dida-e-KHun-bar aaj-kal
ta-sham apna kaam khinche kyunke dekhiye
paDti nahin hai ji ko jafa-kar aaj-kal
kabe talak to sunte hain virana-o-KHarab
aabaad hai so KHana-e-KHummar aaj-kal
Thokar dilon ko lagne lagi hai KHiram mein
lawegi ek bala teri raftar aaj-kal
aisa hi mughbachon mein jo aana hai shaiKH ji
to ja rahe hain jubba-o-dastar aaj-kal
hairan main hi haal ki tadbir mein nahin
har ek ko shahr mein hai ye aazar aaj-kal
achchha nahin hai 'mir' ka ahwal in dinon
ghaalib ki ho chukega ye bimar aaj-kal
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0270
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.