mashhur chaman mein teri gul pairahani hai
mash.hūr chaman meñ tirī gul pairahanī hai
qurbāñ tire har uzv pe nāzuk-badanī hai
uryānī-e-āshufta kahāñ jaa.e pas-az-marg
kushta hai tirā aur yahī be-kafnī hai
samjhe hai na parvāna na thāme hai zabāñ sham.a
vo soḳhtanī hai to ye gardan-zadanī hai
letā hī nikaltā hai mirā laḳht-e-jigar ashk
aañsū nahīñ goyā ki ye hiire kī kanī hai
bulbul kī kaf-e-ḳhāk bhī ab hogī pareshāñ
jaame kā tire rañg sitamgar chimanī hai
kuchh to ubhar ai sūrat-e-shīrīñ ki dikhā.ūñ
farhād ke zimme bhī ajab koh-kanī hai
hoñ garm-e-safar shām-e-ġharībāñ se ḳhushī hoñ
ai sub.h-e-vatan tū to mujhe be-vatanī hai
har-chand gadā huuñ maiñ tire ishq meñ lekin
in bul-havasoñ meñ koī mujh sā bhī ġhanī hai
har ashk mirā hai dur-e-shahvār se behtar
har laḳht-e-jigar rashk-e-aqīq-e-yamanī hai
bigḌī hai nipaT 'mīr' tapish aur jigar meñ
shāyad ki mire jī hī par ab aan banī hai
mashhur chaman mein teri gul pairahani hai
qurban tere har uzw pe nazuk-badani hai
uryani-e-ashufta kahan jae pas-az-marg
kushta hai tera aur yahi be-kafni hai
samjhe hai na parwana na thame hai zaban shama
wo soKHtani hai to ye gardan-zadani hai
leta hi nikalta hai mera laKHt-e-jigar ashk
aansu nahin goya ki ye hire ki kani hai
bulbul ki kaf-e-KHak bhi ab hogi pareshan
jame ka tere rang sitamgar chimani hai
kuchh to ubhar ai surat-e-shirin ki dikhaun
farhad ke zimme bhi ajab koh-kani hai
hon garm-e-safar sham-e-ghariban se KHushi hon
ai subh-e-watan tu to mujhe be-watani hai
har-chand gada hun main tere ishq mein lekin
in bul-hawason mein koi mujh sa bhi ghani hai
har ashk mera hai dur-e-shahwar se behtar
har laKHt-e-jigar rashk-e-aqiq-e-yamani hai
bigDi hai nipaT 'mir' tapish aur jigar mein
shayad ki mere ji hi par ab aan bani hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0515
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.