mat ho dushman ai falak mujh paemal-e-rah ka
mat ho dushman ai falak mujh pā.emāl-e-rāh kā
ḳhāk-uftāda huuñ maiñ bhī ik faqīr allāh kā
saiñkaḌoñ tarheñ nikāleñ yaar ke aane kī lek
'uzr hī jā hai chalā us ke dil-e-nā-ḳhvāh kā
gar koī pīr-e-muġhāñ mujh ko kare to dekhe phir
mai-kada saare kā saarā sirf hai allāh kā
kaash tere ġham-rasīdoñ ko bulāveñ hashr meñ
zulm hai yak ḳhalq par āshob in kī aah kā
jo sunā hushiyār us maiḳhāne meñ thā be-ḳhabar
shauq hī baaqī rahā ham ko dil-e-āgāh kā
bāñdh mat rone kā taar ai nā-qabāhat-fahm chashm
is se paayā jaa.e hai sar-rishta jī kī chaah kā
shaiḳh mat kar zikr har sā'at qayāmat kā ki hai
'arsa-e-mahshar namūna us kī bāzī-gāh kā
shahr meñ kis muñh se aave sāmne tere ki shoḳh
jhā.iyoñ se bhar rahā hai saarā chehra maah kā
sar faro laatī nahīñ himmat mirī har ik ke paas
huuñ gadā-e-āstāñ maiñ 'mīr' hazrat shaah kā
mat ho dushman ai falak mujh paemal-e-rah ka
KHak-uftada hun main bhi ek faqir allah ka
sainkaDon tarhen nikalen yar ke aane ki lek
'uzr hi ja hai chala us ke dil-e-na-KHwah ka
gar koi pir-e-mughan mujh ko kare to dekhe phir
mai-kada sare ka sara sirf hai allah ka
kash tere gham-rasidon ko bulawen hashr mein
zulm hai yak KHalq par aashob in ki aah ka
jo suna hushiyar us maiKHane mein tha be-KHabar
shauq hi baqi raha hum ko dil-e-agah ka
bandh mat rone ka tar ai na-qabahat-fahm chashm
is se paya jae hai sar-rishta ji ki chah ka
shaiKH mat kar zikr har sa'at qayamat ka ki hai
'arsa-e-mahshar namuna us ki bazi-gah ka
shahr mein kis munh se aawe samne tere ki shoKH
jhaiyon se bhar raha hai sara chehra mah ka
sar faro lati nahin himmat meri har ek ke pas
hun gada-e-astan main 'mir' hazrat shah ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0035
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.