na baaten karo sargirani ke sath
na bāteñ karo sargirānī ke saath
mirī ziist hai mehrbānī ke saath
na uTh kar dar-e-yār se jā sake
ye kam lutf hai nā-tavānī ke saath
faro dard aañsū piye kuchh huā
davā jaise piite haiñ paanī ke saath
kahe maiñ ne ash.ār har bahr meñ
va-lekin qayāmat-ravānī ke saath
shitābī ga.ī is ravish fasl-e-gul
ki juuñ raftagī ho javānī ke saath
bikhere hai juuñ laḳht-e-dil aah sub.h
havā kab hai is gul-fishānī ke saath
jalā jī bahut qissa-e-'mīr' sun
balā soz thā us kahānī ke saath
na baaten karo sargirani ke sath
meri zist hai mehrbani ke sath
na uTh kar dar-e-yar se ja sake
ye kam lutf hai na-tawani ke sath
faro dard aansu piye kuchh hua
dawa jaise pite hain pani ke sath
kahe main ne ashaar har bahr mein
wa-lekin qayamat-rawani ke sath
shitabi gai is rawish fasl-e-gul
ki jun raftagi ho jawani ke sath
bikhere hai jun laKHt-e-dil aah subh
hawa kab hai is gul-fishani ke sath
jala ji bahut qissa-e-'mir' sun
bala soz tha us kahani ke sath
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1248
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.