qasd gar imtihan hai pyare
qasd gar imtihān hai pyāre
ab talak nīm-jān hai pyāre
sajda karne meñ sar kaTeñ haiñ jahāñ
so tirā āstān hai pyāre
guftugū reḳhte meñ ham se na kar
ye hamārī zabān hai pyāre
kaam meñ qatl ke mire tan de
ab talak mujh meñ jaan hai pyāre
yaarī laḌkoñ se mat kare un kā
ishq ….ñ hai pyāre
chhoḌ jaate haiñ dil ko tere paas
ye hamārā nishān hai pyāre
shakleñ kyā kyā kiyāñ haiñ jin ne ḳhaak
ye vahī āsmān hai pyāre
qaaf
jā chukā dil to ye yaqīnī hai
kyā ab us kā bayān hai pyāre
par tabassum ke karne se tere
kunj-e-lab par gumān hai pyāre
'mīr' amdan bhī koī martā hai
jaan hai to jahān hai pyāre
qasd gar imtihan hai pyare
ab talak nim-jaan hai pyare
sajda karne mein sar kaTen hain jahan
so tera aastan hai pyare
guftugu reKHte mein hum se na kar
ye hamari zaban hai pyare
kaam mein qatl ke mere tan de
ab talak mujh mein jaan hai pyare
yari laDkon se mat kare un ka
ishq …n hai pyare
chhoD jate hain dil ko tere pas
ye hamara nishan hai pyare
shaklen kya kya kiyan hain jin ne KHak
ye wahi aasman hai pyare
qaf
ja chuka dil to ye yaqini hai
kya ab us ka bayan hai pyare
par tabassum ke karne se tere
kunj-e-lab par guman hai pyare
'mir' amdan bhi koi marta hai
jaan hai to jahan hai pyare
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0548
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.