sair ke qabil hai dil-sad-para us naKHchir ka
sair ke qābil hai dil-sad-pāra us naḳhchīr kā
jis ke har TukḌe meñ ho paivast paikāñ tiir kā
sab khulā bāġh-e-jahāñ illā ye hairān-o-ḳhafā
jis ko dil samjhe the ham so ġhuncha thā tasvīr kā
bū-e-ḳhūñ se jī rukā jaatā hai ai bād-e-bahār
ho gayā hai chaak dil shāyad kaso dil-gīr kā
kyūñke naqqāsh-e-azal ne naqsh abrū kā kiyā
kaam hai ik tere muñh par khīñchnā shamshīr kā
rahguzar sail-e-havādis kā hai be-buniyād-e-dahr
is ḳharābe meñ na karnā qasd tum ta.amīr kā
bas tabīb uTh jā mirī bālīñ se mat de dard-e-sar
kaam yaañ āḳhir huā ab fā.eda tadbīr kā
nāla-kash haiñ ahd-e-pīrī meñ bhī tere dar pe ham
qadd-e-ḳham-gashta hamārā halqa hai zanjīr kā
jo tire kūche meñ aayā phir vahīñ gaaḌā use
tishna-e-ḳhūñ meñ to huuñ us ḳhāk-e-dāman-gīr kā
ḳhuun se mere huī yak-dam ḳhushī tum ko to lek
muft meñ jaatā rahā jī ek be-taqsīr kā
laḳht-e-dil se juuñ chhiḌī phūloñ kī gūñdhī hai vale
fā.eda kuchh ai jigar is āh-e-be-tāsīr kā
gor-e-majanūñ se na jāveñge kahīñ ham be-navā
aib hai ham meñ jo chhoḌeñ Dher apne piir kā
kis tarah se māniye yaaro ki ye āshiq nahīñ
rañg uḌā jaatā hai Tak chehra to dekho 'mīr' kā
sair ke qabil hai dil-sad-para us naKHchir ka
jis ke har TukDe mein ho paiwast paikan tir ka
sab khula bagh-e-jahan illa ye hairan-o-KHafa
jis ko dil samjhe the hum so ghuncha tha taswir ka
bu-e-KHun se ji ruka jata hai ai baad-e-bahaar
ho gaya hai chaak dil shayad kaso dil-gir ka
kyunke naqqash-e-azal ne naqsh abru ka kiya
kaam hai ek tere munh par khinchna shamshir ka
rahguzar sail-e-hawadis ka hai be-buniyaad-e-dahr
is KHarabe mein na karna qasd tum tamir ka
bas tabib uTh ja meri baalin se mat de dard-e-sar
kaam yan aaKHir hua ab faeda tadbir ka
nala-kash hain ahd-e-piri mein bhi tere dar pe hum
qadd-e-KHam-gashta hamara halqa hai zanjir ka
jo tere kuche mein aaya phir wahin gaDa use
tishna-e-KHun mein to hun us KHak-e-daman-gir ka
KHun se mere hui yak-dam KHushi tum ko to lek
muft mein jata raha ji ek be-taqsir ka
laKHt-e-dil se jun chhiDi phulon ki gundhi hai wale
faeda kuchh ai jigar is aah-e-be-tasir ka
gor-e-majanun se na jawenge kahin hum be-nawa
aib hai hum mein jo chhoDen Dher apne pir ka
kis tarah se maniye yaro ki ye aashiq nahin
rang uDa jata hai Tak chehra to dekho 'mir' ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0027
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.