sar kaT ke Dalwa diye andaz to dekho
sar kaaT ke Dalvā diye andāz to dekho
pāmāl hai sab ḳhalq-e-jahāñ-nāz to dekho
kuchh suujh nahīñ paḌtī tumheñ be-ḳhabarī se
Tuk hosh kī āñkhoñ ko karo baaz to dekho
us but se nahīñ jab ta.iiñ sohbat to nahīñ hai
ye Dol jo hotā hai ḳhudā-sāz to dekho
shab aañkh mirī lagne nahīñ detī hai bulbul
is murġh kī betābi-e-āvāz to dekho
dil ek taḌapne meñ pare arsh ke paayā
is tā.ir-e-be-bāl kī parvāz to dekho
kī zulf-o-ḳhat-o-ḳhāl ne ek aur qayāmat
tasvīr se chehre pe ye pardāz to dekho
sab 'mīr' ko dete haiñ jagah āñkhoñ par apnī
is ḳhāk-e-rah-e-ishq kā e.azāz to dekho
sar kaT ke Dalwa diye andaz to dekho
pamal hai sab KHalq-e-jahan-naz to dekho
kuchh sujh nahin paDti tumhein be-KHabari se
Tuk hosh ki aankhon ko karo baz to dekho
us but se nahin jab tain sohbat to nahin hai
ye Dol jo hota hai KHuda-saz to dekho
shab aankh meri lagne nahin deti hai bulbul
is murgh ki betabi-e-awaz to dekho
dil ek taDapne mein pare arsh ke paya
is tair-e-be-baal ki parwaz to dekho
ki zulf-o-KHat-o-KHal ne ek aur qayamat
taswir se chehre pe ye pardaz to dekho
sab 'mir' ko dete hain jagah aankhon par apni
is KHak-e-rah-e-ishq ka eazaz to dekho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1225
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.