Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahron mulkon mein jo ye mir kahata hai miyan

Meer Taqi Meer

shahron mulkon mein jo ye mir kahata hai miyan

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    shahroñ mulkoñ meñ jo ye 'mīr' kahātā hai miyāñ

    dīdanī hai pe bahut kam nazar aatā hai miyāñ

    aalam ā.īna hai jis vo musavvir-e-be-misl

    haa.e kyā sūrateñ parde meñ banātā hai miyāñ

    qismat us bazm meñ laa.ī ki jahāñ saaqī

    de hai mai sab ko hameñ zahr pilātā hai miyāñ

    ho ke āshiq tire jān-o-dil-o-dīñ kho baiThe

    jaisā kartā hai koī vaisā paatā hai miyāñ

    husn yak chiiz hai ham hoveñ ki ho nāseh

    aisī shai se koī bhī haath uThātā hai miyāñ

    jhakkaḌ is hādse koh-e-girāñ-sañg ko bhī

    juuñ par-e-kāh uḌaa.e liye jaatā hai miyāñ

    kyā parī-ḳhvāñ hai jo rātoñ ko jagāve hai 'mīr'

    shaam se dil jigar-o-jān jalātā hai miyāñ

    shahron mulkon mein jo ye 'mir' kahata hai miyan

    didani hai pe bahut kam nazar aata hai miyan

    aalam aaina hai jis ka wo musawwir-e-be-misl

    hae kya suraten parde mein banata hai miyan

    qismat us bazm mein lai ki jahan ka saqi

    de hai mai sab ko hamein zahr pilata hai miyan

    ho ke aashiq tere jaan-o-dil-o-din kho baiThe

    jaisa karta hai koi waisa hi pata hai miyan

    husn yak chiz hai hum howen ki tu ho naseh

    aisi shai se koi bhi hath uThata hai miyan

    jhakkaD is hadse ka koh-e-giran-sang ko bhi

    jun par-e-kah uDae liye jata hai miyan

    kya pari-KHwan hai jo raaton ko jagawe hai 'mir'

    sham se dil jigar-o-jaan jalata hai miyan

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1201
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now