Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka

Meer Taqi Meer

suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    sunā hai haal tire kushtagāñ bechāroñ

    huā na gor gaḌhā un sitam ke māroñ

    hazār rañg khile gul chaman ke haiñ shāhid

    ki rozgār ke sar ḳhuun hai hazāroñ

    milā hai ḳhaak meñ kis kis tarah aalam yaañ

    nikal ke shahr se Tak sair kar mazāroñ

    araq-fishānī se us zulf hirāsāñ huuñ

    bhalā nahīñ hai bahut TūTnā bhī tāroñ

    ilaaj karte haiñ saudā-e-ishq mere

    ḳhalal-pazīr huā hai dimāġh yāroñ

    tirī zulf ko mahshar meñ ham dikhā deñge

    jo koī māñgegā naama siyāhkāroñ

    ḳharāsh-e-sīna-e-āshiq bhī dil ko lag jaa.e

    ajab tarah hai firqa ye dil-figāroñ

    nigāh-e-mast ke maare tirī ḳharāb haiñ shoḳh

    na Thor hai na Thikānā hai hoshyāroñ

    kareñ haiñ da.avā ḳhush-chashmī-e-āhūvān-e-dast

    Tak ek dekhne chal malak un gañvāroñ

    taḌap ke marne se dil ke ki maġhfirat ho use

    jahāñ meñ kuchh to rahā naam be-qarāroñ

    taḌap ke ḳhirman-e-gul par kabhī gir ai bijlī

    jalānā kiyā hai mire āshiyāñ ke ḳhāroñ

    tumheñ to zohd-o-vara.a par bahut hai apne ġhurūr

    ḳhudā hai shaiḳh-jī ham bhī gunāhgāroñ

    uThe hai gard naala gor se is

    ġhubār-e-'mīr' bhī āshiq hai ne savāroñ

    suna hai haal tere kushtagan bechaaron ka

    hua na gor gaDha un sitam ke maron ka

    hazar rang khile gul chaman ke hain shahid

    ki rozgar ke sar KHun hai hazaron ka

    mila hai KHak mein kis kis tarah ka aalam yan

    nikal ke shahr se Tak sair kar mazaron ka

    araq-fishani se us zulf ki hirasan hun

    bhala nahin hai bahut TuTna bhi taron ka

    ilaj karte hain sauda-e-ishq ka mere

    KHalal-pazir hua hai dimagh yaron ka

    teri hi zulf ko mahshar mein hum dikha denge

    jo koi mangega nama siyahkaron ka

    KHarash-e-sina-e-ashiq bhi dil ko lag jae

    ajab tarah ka hai firqa ye dil-figaron ka

    nigah-e-mast ke mare teri KHarab hain shoKH

    na Thor hai na Thikana hai hoshyaron ka

    karen hain dawa KHush-chashmi-e-ahuwan-e-dast

    Tak ek dekhne chal malak un ganwaron ka

    taDap ke marne se dil ke ki maghfirat ho use

    jahan mein kuchh to raha nam be-qararon ka

    taDap ke KHirman-e-gul par kabhi gir ai bijli

    jalana kiya hai mere aashiyan ke KHaron ka

    tumhein to zohd-o-wara par bahut hai apne ghurur

    KHuda hai shaiKH-ji hum bhi gunahgaron ka

    uThe hai gard ki ja nala gor se is ki

    ghubar-e-'mir' bhi aashiq hai ne sawaron ka

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0040
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now