suniyo jab wo kabhu sawar hua
suniyo jab vo kabhū savār huā
tā-ba rūh-ul-amīñ shikār huā
us farebanda ko na samjhe aah
ham ne jaanā ki ham se yaar huā
naala ham ḳhāksāroñ kā āḳhir
ḳhātir-e-arsh kā ġhubār huā
jo na kahnā thā so bhī maiñ ne kahā
dil kī be-tāqatī se ḳhvār huā
phir gayā hai zamāna kyā ki mujhe
hote ḳhvār ek rozgār huā
mar chale be-qarār ho kar ham
ab to tere ta.iiñ qarār huā
vo jo ḳhanjar-ba-kaf nazar aaya
'mīr' sau jaan se nisār huā
suniyo jab wo kabhu sawar hua
ta-ba ruh-ul-amin shikar hua
us farebanda ko na samjhe aah
hum ne jaana ki hum se yar hua
nala hum KHaksaron ka aaKHir
KHatir-e-arsh ka ghubar hua
jo na kahna tha so bhi main ne kaha
dil ki be-taqati se KHwar hua
phir gaya hai zamana kya ki mujhe
hote KHwar ek rozgar hua
mar chale be-qarar ho kar hum
ab to tere tain qarar hua
wo jo KHanjar-ba-kaf nazar aaya
'mir' sau jaan se nisar hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.