tajahul taghaful tasahul kiya
tajāhul taġhāful tasāhul kiyā
huā kaam mushkil tavakkul kiyā
nahīñ taab laatā dil-e-zār ab
bahut ham ne sabr-o-tahammul kiyā
zamīn-e-ġhazal milk sī ho ga.ī
ye qit.a tasarruf maiñ bilkul kiyā
junūñ thā na mujh ko na chup rah sakā
ki zanjīr TuuTī to maiñ ġhul kiyā
na soz-e-darūñ fasl-e-gul meñ chhupā
sar-o-sīna se daaġh ne gul kiyā
hameñ shauq ne sāhabo kho diyā
ġhulāmoñ se us ke tavassul kiyā
haqīqat na 'mīr' apnī samjhī ga.ī
shab-o-roz ham ne ta.ammul kiyā
tajahul taghaful tasahul kiya
hua kaam mushkil tawakkul kiya
nahin tab lata dil-e-zar ab
bahut hum ne sabr-o-tahammul kiya
zamin-e-ghazal milk si ho gai
ye qita tasarruf main bilkul kiya
junun tha na mujh ko na chup rah saka
ki zanjir TuTi to main ghul kiya
na soz-e-darun fasl-e-gul mein chhupa
sar-o-sina se dagh ne gul kiya
hamein shauq ne sahabo kho diya
ghulamon se us ke tawassul kiya
haqiqat na 'mir' apni samjhi gai
shab-o-roz hum ne tammul kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1315
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.