thake chaara-jui se ab kya karen
thake chārā-jūī se ab kyā kareñ
kaho tum so dil kā mudāvā kareñ
gulistāñ meñ ham ġhuncha haiñ der se
kahāñ ham ko parvā ki par vā kareñ
nahīñ chāhtā jī kuchh ab sair haiñ
havas dil ko ho to tamanna kareñ
ba-ḳhud justujū meñ na us kī rahe
ham aaphī haiñ gum kis ko paidā kareñ
ġhazab hai ye andāz-e-raftār-e-ishq
chale jaa.eñ jī ham tamāshā kareñ
balā shor hai sar meñ ham kab talak
qayāmat kā hangāma barpā kareñ
kaheñ dil kī murġhān-e-gulshan se kyā
ye be-hausla ham ko rusvā kareñ
khapā ishq kā josh dil meñ bhalā
ki badnām hoveñ jo saudā kareñ
bure haal us kī galī meñ haiñ 'mīr'
jo uTh jaa.eñ vaañ se to achchhā kareñ
thake chaara-jui se ab kya karen
kaho tum so dil ka mudawa karen
gulistan mein hum ghuncha hain der se
kahan hum ko parwa ki par wa karen
nahin chahta ji kuchh ab sair hain
hawas dil ko ho to tamanna karen
ba-KHud justuju mein na us ki rahe
hum aaphi hain gum kis ko paida karen
ghazab hai ye andaz-e-raftar-e-ishq
chale jaen ji hum tamasha karen
bala shor hai sar mein hum kab talak
qayamat ka hangama barpa karen
kahen dil ki murghan-e-gulshan se kya
ye be-hausla hum ko ruswa karen
khapa ishq ka josh dil mein bhala
ki badnam howen jo sauda karen
bure haal us ki gali mein hain 'mir'
jo uTh jaen wan se to achchha karen
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1458
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.