ya-rab us ka sitam saha bhi jae
yā-rab us kā sitam sahā bhī jaa.e
panja ḳhurshīd kā gahā bhī jaa.e
dekh rahiye ḳhirām-e-nāz us kā
par kisū pā se gar rahā bhī jaa.e
dard-e-dil tuul se kahe āshiq
rū-ba-rū us ke jo kahā bhī jaa.e
hairat-e-gul se aabjū ThiThkā
bahe bahuterā hī bahā bhī jaa.e
kyā koī us galī meñ aave 'mīr'
aave to lohū meñ nahā bhī jaa.e
ya-rab us ka sitam saha bhi jae
panja KHurshid ka gaha bhi jae
dekh rahiye KHiram-e-naz us ka
par kisu pa se gar raha bhi jae
dard-e-dil tul se kahe aashiq
ru-ba-ru us ke jo kaha bhi jae
hairat-e-gul se aabju ThiThka
bahe bahutera hi baha bhi jae
kya koi us gali mein aawe 'mir'
aawe to lohu mein naha bhi jae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1530
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.