ab tangi-e-daman pe na ja aur bhi kuchh mang
ab tangi-e-daman pe na ja aur bhi kuchh mang
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
ab tangī-e-dāmāñ pe na jā aur bhī kuchh maañg
haiñ aaj vo mā.il-ba-atā aur bhī kuchh maañg
haiñ vo mutavajjah to duā aur bhī kuchh maañg
jo kuchh tujhe milnā thā milā aur bhī kuchh maañg
har-chand ke maulā ne bharā hai tirā kashkol
kam-zarf na ban haath baḌhā aur bhī kuchh maañg
chhū kar abhī aa.ī hai sar-e-zulf-e-mohammad
kyā chāhiye ai bād-e-sabā aur bhī kuchh maañg
yā-sarvar-e-dīñ shāh-e-arab rahmat-e-ālam
de kar tah-e-dil se ye sadā aur bhī kuchh maañg
sarkār kā dar hai dar-e-shāhāñ to nahīñ hai
jo maañg liyā maañg liyā aur bhī kuchh maañg
jin logoñ ko ye shak hai karam un kā hai mahdūd
un logoñ kī bātoñ pe na jā aur bhī kuchh maañg
us dar pe ye anjām huā husn-e-talab kā
jholī mirī bhar-bhar ke kahā aur bhī kuchh maañg
sultān-e-madīna kī ziyārat kī duā kar
jannat kī talab chiiz hai kyā aur bhī kuchh maañg
de sakte haiñ kyā kuchh ki vo kuchh de nahīñ sakte
ye bahs na kar hosh meñ aa aur bhī kuchh maañg
maanā ke usī dar se ġhanī ho ke uThā hai
phir bhī dar-e-sarkār pe jā aur bhī kuchh maañg
pahuñchā hai jo us dar pe to rah-rah ke 'nasīr' aaj
āvāz pe āvāz lagā aur bhī kuchh maañg
ab tangi-e-daman pe na ja aur bhi kuchh mang
hain aaj wo mail-ba-ata aur bhi kuchh mang
hain wo mutawajjah to dua aur bhi kuchh mang
jo kuchh tujhe milna tha mila aur bhi kuchh mang
har-chand ke maula ne bhara hai tera kashkol
kam-zarf na ban hath baDha aur bhi kuchh mang
chhu kar abhi aai hai sar-e-zulf-e-mohammad
kya chahiye ai baad-e-saba aur bhi kuchh mang
ya-sarwar-e-din shah-e-arab rahmat-e-alam
de kar tah-e-dil se ye sada aur bhi kuchh mang
sarkar ka dar hai dar-e-shahan to nahin hai
jo mang liya mang liya aur bhi kuchh mang
jin logon ko ye shak hai karam un ka hai mahdud
un logon ki baaton pe na ja aur bhi kuchh mang
us dar pe ye anjam hua husn-e-talab ka
jholi meri bhar-bhar ke kaha aur bhi kuchh mang
sultan-e-madina ki ziyarat ki dua kar
jannat ki talab chiz hai kya aur bhi kuchh mang
de sakte hain kya kuchh ki wo kuchh de nahin sakte
ye bahs na kar hosh mein aa aur bhi kuchh mang
mana ke usi dar se ghani ho ke uTha hai
phir bhi dar-e-sarkar pe ja aur bhi kuchh mang
pahuncha hai jo us dar pe to rah-rah ke 'nasir' aaj
aawaz pe aawaz laga aur bhi kuchh mang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.