ai salatin ke sultan madine wale
ai salātīn ke sultān madīne vaale
tum pe qurbān mirī jaan madīne vaale
marhabā sall-e-'alā ye bashariyyat kā maqām
'arsh vaale ke haiñ mehmān madīne vaale
aap kī zāt-e-girāmī hai ḳhudā kī maz.har
aap haiñ bolte qur.ān madīne vaale
tum sā koī na huā hai na kabhī bhī hogā
tum se insān hai zīshān madīne vaale
kyoñ na qadmoñ pe jhuke saare zamāne kī jabīñ
tum ho allāh kā farmān madīne vaale
tum ne baḳhshe haiñ jahālat ko do-'ālam ke ‘ulūm
tum ho rūhoñ kā dabistān madīne vaale
tum ne sochoñ ko falak-bos nigāheñ baḳhshīñ
ye bhī ummat pe hai ehsān madīne vaale
rū-e-tābān-e-risālat ko jo dekhā hai kabhī
aa.ine ho ga.e hairān madīne vaale
mujh ko iḳhlās kā duniyā ne diyā hai ye sila
mere dāman meñ haiñ bohtān madīne vaale
kyoñ na jāgeñ mirī āñkhoñ meñ darūdoñ ke charāġh
maiñ tumhārā huuñ suḳhan-dān madīne vaale
kyoñ na 'zauqī' ke taḳhayyul kā mahal ho raushan
tum ho afkār kā dālān madīne vaale
ai salatin ke sultan madine wale
tum pe qurban meri jaan madine wale
marhaba sall-e-'ala ye bashariyyat ka maqam
'arsh wale ke hain mehman madine wale
aap ki zat-e-girami hai KHuda ki mazhar
aap hain bolte quran madine wale
tum sa koi na hua hai na kabhi bhi hoga
tum se insan hai zishan madine wale
kyon na qadmon pe jhuke sare zamane ki jabin
tum ho allah ka farman madine wale
tum ne baKHshe hain jahaalat ko do-'alam ke ‘ulum
tum ho ruhon ka dabistan madine wale
tum ne sochon ko falak-bos nigahen baKHshin
ye bhi ummat pe hai ehsan madine wale
ru-e-taban-e-risalat ko jo dekha hai kabhi
aaine ho gae hairan madine wale
mujh ko iKHlas ka duniya ne diya hai ye sila
mere daman mein hain bohtan madine wale
kyon na jagen meri aankhon mein darudon ke charagh
main tumhaara hun suKHan-dan madine wale
kyon na 'zauqi' ke taKHayyul ka mahal ho raushan
tum ho afkar ka dalan madine wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.