allah ne yun shan baDhai tere dar ke
allāh ne yuuñ shaan baḌhā.ī tire dar kī
baḳhshī hai malā.ik ko gadā.ī tire dar kī
paane ko to ḳhurshīd-o-qamar charḳh ne paa.e
kyā paayā agar ḳhaak na paa.ī tire dar kī
jannat ne utāre to bahut nuur ke naqshe
tasvīr magar haath na aa.ī tire dar kī
hūroñ ne malā.ik ne ajinnā ne bashar ne
kis kis ne kahāñ bhiik na paa.ī tire dar kī
allāh ke ghar se hai rasā.ī tire dar tak
allāh ke ghar tak hai rasā.ī tire dar kī
le jā.egī ik din mujhe taiba meñ uḌā kar
jis vaqt havā jhuum kar aa.ī tire dar kī
mahshar meñ bhī is shaan se jā.uñgā 'munavvar'
rakkhe hue kāñdhe pe chaTā.ī tire dar kī
allah ne yun shan baDhai tere dar ki
baKHshi hai malaik ko gadai tere dar ki
pane ko to KHurshid-o-qamar charKH ne pae
kya paya agar KHak na pai tere dar ki
jannat ne utare to bahut nur ke naqshe
taswir magar hath na aai tere dar ki
huron ne malaik ne ajinna ne bashar ne
kis kis ne kahan bhik na pai tere dar ki
allah ke ghar se hai rasai tere dar tak
allah ke ghar tak hai rasai tere dar ki
le jaegi ek din mujhe taiba mein uDa kar
jis waqt hawa jhum kar aai tere dar ki
mahshar mein bhi is shan se jaunga 'munawwar'
rakkhe hue kandhe pe chaTai tere dar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.