apne aaqa ke madine ki taraf dekhte hain
apne aaqā ke madīne kī taraf dekhte haiñ
dil ulajhtā hai to siine kī taraf dekhte haiñ
ab ye duniyā jise chāhe use dekhe sar-e-sail
ham to bas ek safīne kī taraf dekhte haiñ
ahd-e-āsūdgī-e-jāñ ho ki daur-e-adbār
usī rahmat ke ḳhazīne kī taraf dekhte haiñ
vo jo pal-bhar meñ sar-e-arsh-e-barīñ khultā hai
bas usī nuur ke ziine kī taraf dekhte haiñ
bahr-e-tasdīq-e-sanad-nāma-e-nisbat ushshāq
muhr-e-ḳhātam ke nagīne kī taraf dekhte haiñ
dekhne vāloñ ne dekhe haiñ vo āshufta-mizāj
jo haram se bhī madīne kī taraf dekhte haiñ
apne aaqa ke madine ki taraf dekhte hain
dil ulajhta hai to sine ki taraf dekhte hain
ab ye duniya jise chahe use dekhe sar-e-sail
hum to bas ek safine ki taraf dekhte hain
ahd-e-asudgi-e-jaan ho ki daur-e-adbar
usi rahmat ke KHazine ki taraf dekhte hain
wo jo pal-bhar mein sar-e-arsh-e-barin khulta hai
bas usi nur ke zine ki taraf dekhte hain
bahr-e-tasdiq-e-sanad-nama-e-nisbat ushshaq
muhr-e-KHatam ke nagine ki taraf dekhte hain
dekhne walon ne dekhe hain wo aashufta-mizaj
jo haram se bhi madine ki taraf dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.