Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azal se naqsh-e-dil hai naz jaanana mohammad ka

Arzoo Lakhnavi

azal se naqsh-e-dil hai naz jaanana mohammad ka

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    azal se naqsh-e-dil hai naaz jānāna mohammad

    kiyā hai lauh ne mahfūz afsāna mohammad

    banā hai mahbat-e-jibrīl kāshāna mohammad

    ab afsāna ḳhudā hai har afsāna mohammad

    Dare kyā ātish-e-dozaḳh se dīvāna mohammad

    ki uTThe sho'le gul kartā hai parvāna mohammad

    zuhūr-e-hāl-o-mustaqbil se maazī ko milā dūñgā

    mujhe phir aaj dohrānā hai afsāna mohammad

    rasā.ī kab hai us tak hosh-e-insāñ aql-e-qudsī

    jo apnī rau meñ bak jaatā hai dīvāna mohammad

    duī ik dāġh-e-tohmat ġhairiyat ilzām-e-be-ma.anī

    vo apnā hai jise apnā.e yārāna mohammad

    shafā.at duā meñ vo havā dete haiñ par us ke

    jahannum ko bujhā saktā hai parvāna mohammad

    yahāñ se tā-ba-jannat rok hai koī na pursish hai

    jahāñ chāhe chalā ban ke parvāna mohammad

    shuā is paar shīshe ke nazar us paar shīshe ke

    jhalak dekhī ki pahuñchā uḌ ke parvāna mohammad

    darūd avval suḳhan ho 'ārzū' phir sher nā'tiyya

    zabāñ dho Daal agar kahnā hai afsāna mohammad

    azal se naqsh-e-dil hai naz jaanana mohammad ka

    kiya hai lauh ne mahfuz afsana mohammad ka

    bana hai mahbat-e-jibril kashana mohammad ka

    ab afsana KHuda ka hai har afsana mohammad ka

    Dare kya aatish-e-dozaKH se diwana mohammad ka

    ki uTThe sho'le gul karta hai parwana mohammad ka

    zuhur-e-haal-o-mustaqbil se mazi ko mila dunga

    mujhe phir aaj dohrana hai afsana mohammad ka

    rasai kab hai us tak hosh-e-insan aql-e-qudsi ki

    jo apni rau mein bak jata hai diwana mohammad ka

    dui ek dagh-e-tohmat ghairiyat ilzam-e-be-mani

    wo apna hai jise apnae yarana mohammad ka

    shafaat ki dua mein wo hawa dete hain par us ke

    jahannum ko bujha sakta hai parwana mohammad ka

    yahan se ta-ba-jannat rok hai koi na pursish hai

    jahan chahe chala ja ban ke parwana mohammad ka

    shua is par shishe ke nazar us par shishe ke

    jhalak dekhi ki pahuncha uD ke parwana mohammad ka

    darud awwal suKHan ho 'arzu' phir sher na'tiyya

    zaban dho Dal agar kahna hai afsana mohammad ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now