ban aai teri shafaat se ru-siyahon ki
ban aa.ī terī shafā.at se rū-siyāhoñ kī
ki fard dāḳhil-e-daftar huī gunāhoñ kī
tire faqīr dikhā.eñ jo martaba apnā
nazar se utre chaḌhī bārgāh shāhoñ kī
zarā bhī chashm-e-karam ho to le uḌeñ hūreñ
samajh ke surma siyāhī mire gunāhoñ kī
ḳhushā-nasīb jo terī galī meñ dafn hue
jināñ meñ rūheñ haiñ in maġhfirat-panāhoñ kī
farishte karte haiñ dāmān-e-zulf-e-hūr se saaf
jo gard paḌtī hai us rauze par nigāhoñ kī
rukegī aa ke shafā.at tirī ḳharīdārī
khuleñgī hashr meñ jab gaThḌiyāñ gunāhoñ kī
maiñ nā-tavān huuñ pahuñchūñgā aap tak kyūñkar
ki bhiiḌ hogī qayāmat meñ uzr-ḳhvāhoñ kī
nigāh-e-lutf hai lāzim ki duur ho ye marz
dabā rahī hai siyāhī mujhe gunāhoñ kī
ḳhudā karīm mohammad shafī-e-roz-e-jazā
'amīr' kyā hai haqīqat mire gunāhoñ kī
ban aai teri shafaat se ru-siyahon ki
ki fard daKHil-e-daftar hui gunahon ki
tere faqir dikhaen jo martaba apna
nazar se utre chaDhi bargah shahon ki
zara bhi chashm-e-karam ho to le uDen huren
samajh ke surma siyahi mere gunahon ki
KHusha-nasib jo teri gali mein dafn hue
jinan mein ruhen hain in maghfirat-panahon ki
farishte karte hain daman-e-zulf-e-hur se saf
jo gard paDti hai us rauze par nigahon ki
rukegi aa ke shafaat teri KHaridari
khulengi hashr mein jab gaThDiyan gunahon ki
main na-tawan hun pahunchunga aap tak kyunkar
ki bhiD hogi qayamat mein uzr-KHwahon ki
nigah-e-lutf hai lazim ki dur ho ye marz
daba rahi hai siyahi mujhe gunahon ki
KHuda karim mohammad shafi-e-roz-e-jaza
'amir' kya hai haqiqat mere gunahon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.