chalna kahan tha sahl rah-e-mustaqim par
chalnā kahāñ thā sahl rah-e-mustaqīm par
māthe se ḳhuun girtā thā pā-e-karīm par
girya-guzār chashm-e-muqaddas ke āfrīñ
hijrat kī shab amiin thī māl-e-ġhanīm par
siine pe haath peT pe patthar bañdhe hue
ḳhandaq meñ dohrā bojh paḌā thā rahīm par
qur.ān apne sāhib-e-qur.āñ pe rashk-zan
nāzil hue vo hoñT alif-lām-mīm par
āqā-e-lā-zavāl ke pā-posh āshnā
saaya kiye hue haiñ jadīd aur qadīm par
chalna kahan tha sahl rah-e-mustaqim par
mathe se KHun girta tha pa-e-karim par
girya-guzar chashm-e-muqaddas ke aafrin
hijrat ki shab amin thi mal-e-ghanim par
sine pe hath peT pe patthar bandhe hue
KHandaq mein dohra bojh paDa tha rahim par
quran apne sahib-e-quran pe rashk-zan
nazil hue wo honT alif-lam-mim par
aaqa-e-la-zawal ke pa-posh aashna
saya kiye hue hain jadid aur qadim par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.