chamak tujhse pate hain sab pane wale
chamak tujh se paate haiñ sab paane vaale
mirā dil bhī chamkā de chamkāne vaale
barastā nahīñ dekh kar abr-e-rahmat
badoñ par bhī barsā de barsāne vaale
madīne ke ḳhitte ḳhudā tujh ko rakkhe
ġharīboñ faqīroñ ke Thahrāne vaale
tū zinda hai vallāh tū zinda hai vallāh
mire chashm-e-‘ālam se chhup jaane vaale
maiñ mujrim huuñ aaqā mujhe saath le lo
ki raste meñ haiñ jā-ba-jā thāne vaale
haram kī zamīñ aur qadam rakh ke chalnā
are sar kā mauqa' hai o jaane vaale
tirā khā.eñ tere ġhulāmoñ se uljheñ
haiñ munkir 'ajab khāne ġhurrāne vaale
rahegā yuñhī un kā charchā rahegā
paḌe ḳhaak ho jaa.eñ jal jaane vaale
'razā' nafs dushman hai dam meñ na aanā
kahāñ tū ne dekhe haiñ chandrāne vaale
chamak tujh se pate hain sab pane wale
mera dil bhi chamka de chamkane wale
barasta nahin dekh kar abr-e-rahmat
badon par bhi barsa de barsane wale
madine ke KHitte KHuda tujh ko rakkhe
gharibon faqiron ke Thahrane wale
tu zinda hai wallah tu zinda hai wallah
mere chashm-e-‘alam se chhup jaane wale
main mujrim hun aaqa mujhe sath le lo
ki raste mein hain ja-ba-ja thane wale
haram ki zamin aur qadam rakh ke chalna
are sar ka mauqa' hai o jaane wale
tera khaen tere ghulamon se uljhen
hain munkir 'ajab khane ghurrane wale
rahega yunhi un ka charcha rahega
paDe KHak ho jaen jal jaane wale
'raza' nafs dushman hai dam mein na aana
kahan tu ne dekhe hain chandrane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.