chashm-e-saqi kausar-o-tasnim par dekha kiye
chashm-e-sāqī kausar-o-tasnīm par dekhā kiye
piine vaale pī rahe the ham udhar dekhā kiye
kis maze se rauza-e-ḳhairul-bashar dekhā kiye
dekhne vāloñ kā ham husn-e-nazar dekhā kiye
vajd sā thā dil pe taarī aañkh se aañsū ravāñ
yuuñ dar-e-aqdas ko ham āThoñ pahar dekhā kiye
ahl-e-zāhir kī nazar us tak pahuñchtī kyā majāl
jo tajallī aap ke āshufta-sar dekhā kiye
phuul thā har zarra ḳhāk-e-pāk-e-taiba kā magar
hosh chunñe kā kise thā be-ḳhabar dekhā kiye
is tamanna meñ ki paa.eñ naqsh-e-pā to chuum leñ
tere dīvāne tirī har rahguzar dekhā kiye
ye dayār-e-pāk kī galiyoñ kā dekhā mo'jiza
shauq baḌhtā hī rahā ham jis qadar dekhā kiye
gulshan-e-taiba meñ zikr-e-ātish-e-namrūd kyā
bijliyoñ ko bhī yahāñ ham be-asar dekhā kiye
bazm-e-anjum bazm-e-gul nazroñ se ḳhud gir jā.egī
rauza-e-anvar ko rozāna agar dekhā kiye
daulat-e-īmāñ se jin kī qismateñ mahrūm thiiñ
apne hāthoñ vo shaqī rāh-e-saqar dekhā kiye
har karishma dāman-e-dil khīñchtā thā kufr kā
dekh to sakte na the dushman magar dekhā kiye
muddatoñ 'mahvī' rahe sultān us dar ke faqīr
hāsil-e-pā-bosī-e-ḳhairul-bashar dekhā kiye
chashm-e-saqi kausar-o-tasnim par dekha kiye
pine wale pi rahe the hum udhar dekha kiye
kis maze se rauza-e-KHairul-bashar dekha kiye
dekhne walon ka hum husn-e-nazar dekha kiye
wajd sa tha dil pe tari aankh se aansu rawan
yun dar-e-aqdas ko hum aaThon pahar dekha kiye
ahl-e-zahir ki nazar us tak pahunchti kya majal
jo tajalli aap ke aashufta-sar dekha kiye
phul tha har zarra KHak-e-pak-e-taiba ka magar
hosh chunne ka kise tha be-KHabar dekha kiye
is tamanna mein ki paen naqsh-e-pa to chum len
tere diwane teri har rahguzar dekha kiye
ye dayar-e-pak ki galiyon ka dekha mo'jiza
shauq baDhta hi raha hum jis qadar dekha kiye
gulshan-e-taiba mein zikr-e-atish-e-namrud kya
bijliyon ko bhi yahan hum be-asar dekha kiye
bazm-e-anjum bazm-e-gul nazron se KHud gir jaegi
rauza-e-anwar ko rozana agar dekha kiye
daulat-e-iman se jin ki qismaten mahrum thin
apne hathon wo shaqi rah-e-saqar dekha kiye
har karishma daman-e-dil khinchta tha kufr ka
dekh to sakte na the dushman magar dekha kiye
muddaton 'mahwi' rahe sultan us dar ke faqir
hasil-e-pa-bosi-e-KHairul-bashar dekha kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.