chheDo na zamane ka qasida mere aage
chheḌo na zamāne kā qasīda mire aage
bas karte raho zikr-e-madīna mire aage
masnad pe sunātā huuñ maiñ sarkār kī nā’teñ
kyā chiiz hai vo auj-e-surayyā mire aage
sarkār ke jalvoñ se munavvar hai ye siina
aatā nahīñ duniyā kā añdherā mire aage
ai kaash sar-e-hashr vo aa jaa.eñ madad ko
jab aa.e gunāhoñ kā pulanda mire aage
dikhlāo na duniyā ke nazāre mujhe logo
rakh do dar-e-sarkār kā naqsha mire aage
kirdār maiñ apnā.uñgā kyoñ ġhair kā 'faisal'
hai sarvar-e-kaunain kā usva mire aage
chheDo na zamane ka qasida mere aage
bas karte raho zikr-e-madina mere aage
masnad pe sunata hun main sarkar ki na’ten
kya chiz hai wo auj-e-surayya mere aage
sarkar ke jalwon se munawwar hai ye sina
aata nahin duniya ka andhera mere aage
ai kash sar-e-hashr wo aa jaen madad ko
jab aae gunahon ka pulanda mere aage
dikhlao na duniya ke nazare mujhe logo
rakh do dar-e-sarkar ka naqsha mere aage
kirdar main apnaunga kyon ghair ka 'faisal'
hai sarwar-e-kaunain ka uswa mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.