darud paDhte hain sang-reze hai tera husn-e-maqal kaisa
darūd paḌhte haiñ sang-reze hai terā husn-e-maqāl kaisā
kiyā vo shaqq-ul-qamar falak par kamāl hai aur kamāl kaisā
mai-e-mohabbat ke chand qatroñ meñ kyā bahak jā.ūñgā maiñ tauba
ki bāda-mast-e-azal huuñ saaqī mirī taraf ye ḳhayāl kaisā
azal ke din kī khiñchī huī ho ḳhudā kī tayyār kī huī ho
surūr is kā rahe abad tak ḳhumār kaisā zavāl kaisā
labālab ai sāqī-e-arab de mai-e-tarab de mai-e-tarab de
mirā to ye hai ki be-talab de saḳhī ke dar par savāl kaisā
ḳhudā kā mahbūb ḳhud mohammad hijāz kā chāñd rahmat-e-haq
milā hai makke ke sang-rezo se aamna tujh ko laal kaisā
habīb-e-haq muḳhbir-e-haqīqat rasūl-e-ḳhātam amīn-e-asrī
jamāl kaisā maqāl kaisā kamāl kaisā jalāl kaisā
'ra.īs' ā.eñge mere aaqā zarūr marqad meñ vaqt-e-pursish
vafūr-e-jazbāt kī badaulat yaqīñ hai dil ko ḳhayāl kaisā
darud paDhte hain sang-reze hai tera husn-e-maqal kaisa
kiya wo shaqq-ul-qamar falak par kamal hai aur kamal kaisa
mai-e-mohabbat ke chand qatron mein kya bahak jaunga main tauba
ki baada-mast-e-azal hun saqi meri taraf ye KHayal kaisa
azal ke din ki khinchi hui ho KHuda ki tayyar ki hui ho
surur is ka rahe abad tak KHumar kaisa zawal kaisa
labaalab ai saqi-e-arab de mai-e-tarab de mai-e-tarab de
mera to ye hai ki be-talab de saKHi ke dar par sawal kaisa
KHuda ka mahbub KHud mohammad hijaz ka chand rahmat-e-haq
mila hai makke ke sang-rezo se aamna tujh ko lal kaisa
habib-e-haq muKHbir-e-haqiqat rasul-e-KHatam amin-e-asri
jamal kaisa maqal kaisa kamal kaisa jalal kaisa
'rais' aaenge mere aaqa zarur marqad mein waqt-e-pursish
wafur-e-jazbaat ki badaulat yaqin hai dil ko KHayal kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.