dilon ke sath jabinen jo KHam nahin karte
diloñ ke saath jabīneñ jo ḳham nahīñ karte
vo pās-e-mid.hat-e-ḳhair-ul-umam nahīñ karte
duā baġhair ijāzat baġhair izn baġhair
ham ek lafz sipurd-e-qalam nahīñ karte
kitāb-e-haq ne jinheñ mustafā qarār diyā
juz un ke aur koī zikr ham nahīñ karte
karīm aise ki in.aam karte jaate haiñ
javād aise ki ne.amat ko kam nahīñ karte
jo un ke jāda-e-rahmat se munharif ho jaa.eñ
zamāne un ko kabhī mohtaram nahīñ karte
mayassar aatī hai jin ko darūd kī taufīq
kisī bhī haal meñ hoñ koī ġham nahīñ karte
nazar meñ tā.ef-o-makka raheñ to un ke ġhulām
javāb meñ bhī sitam ke sitam nahīñ karte
dilon ke sath jabinen jo KHam nahin karte
wo pas-e-midhat-e-KHair-ul-umam nahin karte
dua baghair ijazat baghair izn baghair
hum ek lafz sipurd-e-qalam nahin karte
kitab-e-haq ne jinhen mustafa qarar diya
juz un ke aur koi zikr hum nahin karte
karim aise ki inam karte jate hain
jawad aise ki neamat ko kam nahin karte
jo un ke jada-e-rahmat se munharif ho jaen
zamane un ko kabhi mohtaram nahin karte
mayassar aati hai jin ko darud ki taufiq
kisi bhi haal mein hon koi gham nahin karte
nazar mein taef-o-makka rahen to un ke ghulam
jawab mein bhi sitam ke sitam nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.