Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do-jahan ke tajdar shah-e-din

Behzad Lakhnavi

do-jahan ke tajdar shah-e-din

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    do-jahāñ ke tājdār shāh-e-dīñ

    bekasoñ ke ġham-gusār shāh-e-dīñ

    hai gunahgāroñ aas aap se

    mālik-e-yaum-e-fishār shāh-e-dīñ

    gulshan-e-islām ko do jilā

    sāhib-e-rang-o-bahār shāh-e-dīñ

    dīd-e-bat.hā ke liye huuñ tapāñ

    jān-o-dil haiñ be-qarār shāh-e-dīñ

    aap chashm-e-karam aam hai

    kyoñ na ho duniyā nisār shāh-e-dīñ

    kārvāñ to chukā chukā

    rah gayā huuñ maiñ nazār shāh-e-dīñ

    kījiye chashm-e-karam bahr-e-haq

    luT chukī merī bahār shāh-e-dīñ

    do-jahan ke tajdar shah-e-din

    bekason ke gham-gusar shah-e-din

    hai gunahgaron ki aas aap se

    malik-e-yaum-e-fishaar shah-e-din

    gulshan-e-islam ko do jila

    sahib-e-rang-o-bahaar shah-e-din

    did-e-batha ke liye hun tapan

    jaan-o-dil hain be-qarar shah-e-din

    aap ki chashm-e-karam aam hai

    kyon na ho duniya nisar shah-e-din

    karwan to ja chuka ja chuka

    rah gaya hun main nazar shah-e-din

    kijiye chashm-e-karam bahr-e-haq

    luT chuki meri bahaar shah-e-din

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now