faslon ko takalluf hai humse agar hum bhi bebas nahin be-sahaara nahin
faslon ko takalluf hai humse agar hum bhi bebas nahin be-sahaara nahin
Iqbal Azeem
MORE BYIqbal Azeem
fāsloñ ko takalluf hai ham se agar ham bhī bebas nahīñ be-sahārā nahīñ
ḳhud unhī ko pukāreñge ham duur se rāste meñ agar paañv thak jā.eñge
ham madīne meñ tanhā nikal jā.eñge aur galiyoñ meñ qasdan bhaTak jā.eñge
ham vahāñ jā ke vāpas nahīñ ā.eñge DhūñDte DhūñDte log thak jā.eñge
jaise hī sabz gumbad nazar aa.egā bandagī kā qarīna badal jā.egā
sar jhukāne kī fursat milegī kise ḳhud hī palkoñ se sajde Tapak jā.eñge
nām-e-āqā jahāñ bhī liyā jā.egā zikr un kā jahāñ bhī kiyā jā.egā
nuur hī nuur sīnoñ meñ bhar jā.egā saarī mahfil meñ jalve lapak jā.eñge
ai madīne ke zaa.er ḳhudā ke liye dāstan-e-safar mujh ko yuuñ mat sunā
baat baḌh jā.egī dil taḌap jā.egā mere mohtāt aañsū chhalak jā.eñge
un kī chashm-e-karam ko hai is kī ḳhabar kis musāfir ko hai kitnā shauq-e-safar
ham ko 'iqbāl' jab bhī ijāzat milī ham bhī aaqā ke darbār tak jā.eñge
faslon ko takalluf hai hum se agar hum bhi bebas nahin be-sahaara nahin
KHud unhi ko pukarenge hum dur se raste mein agar panw thak jaenge
hum madine mein tanha nikal jaenge aur galiyon mein qasdan bhaTak jaenge
hum wahan ja ke wapas nahin aaenge DhunDte DhunDte log thak jaenge
jaise hi sabz gumbad nazar aaega bandagi ka qarina badal jaega
sar jhukane ki fursat milegi kise KHud hi palkon se sajde Tapak jaenge
nam-e-aqa jahan bhi liya jaega zikr un ka jahan bhi kiya jaega
nur hi nur sinon mein bhar jaega sari mahfil mein jalwe lapak jaenge
ai madine ke zaer KHuda ke liye dastan-e-safar mujh ko yun mat suna
baat baDh jaegi dil taDap jaega mere mohtat aansu chhalak jaenge
un ki chashm-e-karam ko hai is ki KHabar kis musafir ko hai kitna shauq-e-safar
hum ko 'iqbaal' jab bhi ijazat mili hum bhi aaqa ke darbar tak jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.