firaq-e-nabi mein jab aansu bahae
firāq-e-nabī meñ jab aañsū bahā.e
sitāre bahut der tak muskurā.e
mohammad kā e.azāz allāhu-akbar
ḳhudā aur bande ke ḳhud naaz uThā.e
mirā dil hai mansūb yād-e-nabī se
shab-e-ġham se kah do kahīñ aur jaa.e
shikan-dar-shikan vo mohammad ke gesū
muhīt-e-do-ālam vo rahmat ke saa.e
nazar meñ basī hai bahār-e-madīna
ḳhizāñ aa ke ab mujh se nazreñ milā.e
ḳhushā husn-e-aḳhlāq shāh-e-madīna
jo kāfir the sharmā ke īmān laa.e
ḳhumār us kā baḳht-e-rasā allah allāh
madīne pahuñch kar jo vāpas na aa.e
firaq-e-nabi mein jab aansu bahae
sitare bahut der tak muskurae
mohammad ka eazaz allahu-akbar
KHuda aur bande ke KHud naz uThae
mera dil hai mansub yaad-e-nabi se
shab-e-gham se kah do kahin aur jae
shikan-dar-shikan wo mohammad ke gesu
muhit-e-do-alam wo rahmat ke sae
nazar mein basi hai bahaar-e-madina
KHizan aa ke ab mujh se nazren milae
KHusha husn-e-aKHlaq shah-e-madina
jo kafir the sharma ke iman lae
KHumar us ka baKHt-e-rasa allah allah
madine pahunch kar jo wapas na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.