Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasil-e-duniya-e-raaz shah-e-‘arab shah-e-din

Behzad Lakhnavi

hasil-e-duniya-e-raaz shah-e-‘arab shah-e-din

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    hāsil-e-duniyā-e-rāz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    sarvar-e-banda-navāz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    rāhbar-o-peshvā ḳhvāja-e-har-do-sarā

    bekasoñ ke chāra-sāz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    hazrat-e-mahbūb-e-haq tālib-o-matlūb-e-haq

    sāhib-e-nāz-o-niyāz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    aa.ina hai do-jahāñ aa.ina kaun-o-makāñ

    sūrat-e-ā.īna-sāz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    batin-o-zāhir bhī tum avval-o-āḳhir bhī tum

    tum ho haq tum majāz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    bazm ke parvāne ham be-ḳhud-o-mastāne ham

    aap haiñ parvāna-sāz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    kyā ye kisī ko ḳhabar tang hai sab nazar

    tum ho mire dil raaz shāh-e-'arab shāh-e-dīñ

    hasil-e-duniya-e-raaz shah-e-'arab shah-e-din

    sarwar-e-banda-nawaz shah-e-'arab shah-e-din

    rahbar-o-peshwa KHwaja-e-har-do-sara

    bekason ke chaara-saz shah-e-'arab shah-e-din

    hazrat-e-mahbub-e-haq talib-o-matlub-e-haq

    sahib-e-naz-o-niyaz shah-e-'arab shah-e-din

    aaina hai do-jahan aaina kaun-o-makan

    surat-e-aina-saz shah-e-'arab shah-e-din

    batin-o-zahir bhi tum awwal-o-aKHir bhi tum

    tum hi ho haq tum majaz shah-e-'arab shah-e-din

    bazm ke parwane hum be-KHud-o-mastane hum

    aap hain parwana-saz shah-e-'arab shah-e-din

    kya ye kisi ko KHabar tang hai sab ki nazar

    tum ho mere dil ka raaz shah-e-'arab shah-e-din

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now