Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

habib-e-kibriya sarkar-e-batha

Behzad Lakhnavi

habib-e-kibriya sarkar-e-batha

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    habīb-e-kibriyā sarkār-e-bat.hā

    jamāl-e-haq-numā sarkār-e-bat.hā

    muhibb-e-do-sarā sarkār-e-bat.hā

    hamārā aasrā sarkār-e-bat.hā

    unhī ke dam se hai īmāñ hamārā

    haiñ diiñ ke nāḳhudā sarkār-e-bat.hā

    hai dil meñ yaad to yād-e-mohammad

    haiñ dil se kab judā sarkār-e-bat.hā

    chalo un se kaheñ dil tamannā

    ki haiñ shāh-e-hudā sarkār-e-bat.hā

    haiñ un ke nuur se raushan fazā.eñ

    do-ālam ziyā sarkār-e-bat.hā

    na ho 'bahzād' kyoñ bat.hā munavvar

    ki haiñ shamsuzzuhā sarkār-e-bat.hā

    habib-e-kibriya sarkar-e-batha

    jamal-e-haq-numa sarkar-e-batha

    muhibb-e-do-sara sarkar-e-batha

    hamara aasra sarkar-e-batha

    unhi ke dam se hai iman hamara

    hain din ke naKHuda sarkar-e-batha

    hai dil mein yaad to yaad-e-mohammad

    hain dil se kab juda sarkar-e-batha

    chalo un se kahen dil ki tamanna

    ki hain shah-e-huda sarkar-e-batha

    hain un ke nur se raushan fazaen

    do-alam ki ziya sarkar-e-batha

    na ho 'bahzad' kyon batha munawwar

    ki hain shamsuzzuha sarkar-e-batha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now