halqe mein rasulon ke wo mah-e-madani hai
halqe meñ rasūloñ ke vo māh-e-madanī hai
kyā chāñd kī tanvīr sitāroñ meñ chhanī hai
kah de mire iisā se madīne meñ ye koī
ab jaan pe bīmār-e-mohabbat ke banī hai
mahbūb ko be-dekhe hue lauT rahe haiñ
ushshāq meñ kyā rang-e-uvais-e-qaranī hai
ghar se kahīñ achchhā hai madīne kā musāfir
yaañ sub.h-e-vatan shām-e-ġharīb-ul-vatanī hai
me.arāj meñ hūroñ ne jo dekhā to ye bolīñ
kis nok palak kā ye javān-e-madanī hai
ik umr se jaltā hai magar jal nahīñ chuktā
kis sham.a kā parvāna uvais-e-qaranī hai
ushshāq se pūchhe na ga.e hashr meñ a.amāl
kyā bigḌī huī baat mohabbat se banī hai
yaad ahmad-e-muḳhtār kī hai ka.aba-e-dil meñ
makke meñ ayaañ jalva-e-māh-e-madanī hai
kis shauq se jaate haiñ madīne ke musāfir
mahbūb vatan se kahīñ ye be-vatanī hai
kahtā hai musāfir se ye har naḳhl-e-madīna
ārām zarā le lo yahāñ chhāñv ghanī hai
āġhosh-e-tasavvur meñ bhī aanā nahīñ mumkin
hūroñ se bhī baḌh kar tirī nāzuk-badanī hai
allāh ke mahbūb se hai ishq kā da.avā
bandoñ kā bhī kyā hausla allāh-ġhanī hai
āñkhoñ se Tapaktā hai mirī rang-e-ovaisī
jo laḳht-e-jigar hai vo aqīq-e-yamanī hai
maiñ us ke ġhulāmoñ meñ huuñ jo sab kā hai aaqā
sardār-e-rusul sayyad-e-makkī-madanī hai
aadā ne jahāñ māñgī amaañ ruk ga.ī chal kar
shamshīr-e-husainī meñ bhī ḳhulq-e-hasanī hai
har dil meñ hai mahbūb-e-ilāhī kī tajallī
har aa.ine meñ aks-e-jamāl-e-madanī hai
maqtal hai chaman na.ash pe hūroñ kā hai majma.a
kyā rang meñ Duubī mirī ḳhūnīñ kafanī hai
pahuñchī haiñ kahāñ aaheñ uvais-e-qaranī kī
bāġhoñ meñ madīne ke havā-e-yamanī hai
kuchh mad.h paḌhūñ rauza-e-pur-nūr pe chal kar
ye baat 'amīr' ab to mire dil meñ Thanī hai
halqe mein rasulon ke wo mah-e-madani hai
kya chand ki tanwir sitaron mein chhani hai
kah de mere isa se madine mein ye koi
ab jaan pe bimar-e-mohabbat ke bani hai
mahbub ko be-dekhe hue lauT rahe hain
ushshaq mein kya rang-e-uwais-e-qarani hai
ghar se kahin achchha hai madine ka musafir
yan subh-e-watan sham-e-gharib-ul-watani hai
mearaj mein huron ne jo dekha to ye bolin
kis nok palak ka ye jawan-e-madani hai
ek umr se jalta hai magar jal nahin chukta
kis shama ka parwana uwais-e-qarani hai
ushshaq se puchhe na gae hashr mein aamal
kya bigDi hui baat mohabbat se bani hai
yaad ahmad-e-muKHtar ki hai kaba-e-dil mein
makke mein ayan jalwa-e-mah-e-madani hai
kis shauq se jate hain madine ke musafir
mahbub watan se kahin ye be-watani hai
kahta hai musafir se ye har naKHl-e-madina
aaram zara le lo yahan chhanw ghani hai
aaghosh-e-tasawwur mein bhi aana nahin mumkin
huron se bhi baDh kar teri nazuk-badani hai
allah ke mahbub se hai ishq ka dawa
bandon ka bhi kya hausla allah-ghani hai
aankhon se Tapakta hai meri rang-e-owaisi
jo laKHt-e-jigar hai wo aqiq-e-yamani hai
main us ke ghulamon mein hun jo sab ka hai aaqa
sardar-e-rusul sayyad-e-makki-madani hai
aada ne jahan mangi aman ruk gai chal kar
shamshir-e-husaini mein bhi KHulq-e-hasani hai
har dil mein hai mahbub-e-ilahi ki tajalli
har aaine mein aks-e-jamal-e-madani hai
maqtal hai chaman nash pe huron ka hai majma
kya rang mein Dubi meri KHunin kafani hai
pahunchi hain kahan aahen uwais-e-qarani ki
baghon mein madine ke hawa-e-yamani hai
kuchh madh paDhun rauza-e-pur-nur pe chal kar
ye baat 'amir' ab to mere dil mein Thani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.