hamein jo yaad madine ka lala-zar aaya
hameñ jo yaad madīne kā lāla-zār aayā
tasavvurāt kī duniyā pe ik nikhār aayā
kabhī jo gumbad-e-ḳhazrā kī yaad aa.ī hai
baḌā sukūn milā hai baḌā qarār aayā
yaqīn kar ki mohammad ke āstāne par
jo bad-nasīb gayā hai vo kāmgār aayā
hazār shams-o-qamar rāh-e-shauq se guzre
ḳhayāl-e-husn-e-mohammad jo baar baar aayā
arab ke chāñd ne sahrā basā diye 'sāġhar'
vo saath le ke tajallī kā ik dayār aayā
hamein jo yaad madine ka lala-zar aaya
tasawwuraat ki duniya pe ek nikhaar aaya
kabhi jo gumbad-e-KHazra ki yaad aai hai
baDa sukun mila hai baDa qarar aaya
yaqin kar ki mohammad ke aastane par
jo bad-nasib gaya hai wo kaamgar aaya
hazar shams-o-qamar rah-e-shauq se guzre
KHayal-e-husn-e-mohammad jo bar bar aaya
arab ke chand ne sahra basa diye 'saghar'
wo sath le ke tajalli ka ek dayar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.