Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har dard ka hota hai darman madine mein

Behzad Lakhnavi

har dard ka hota hai darman madine mein

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    har dard hotā hai darmān madīne meñ

    ḳhāliq bhī hotā hai irfān madīne meñ

    ḳhāk-e-dar-e-aqdas par rakhtī hai jabīñ duniyā

    is tarah nikalte haiñ armān madīne meñ

    īmāñ fazā.eñ haiñ īmāñ havā.eñ haiñ

    hotā hai ġharaz kāmil īmān madīne meñ

    vahdat vahāñ tābish rahmat vahāñ bārish

    baḳhshish hamārī hai sāmān madīne meñ

    ye merā aqīda hai ye dil aqīda hai

    hotī hai har ik mushkil āsān madīne meñ

    phir jaate haiñ din us ke mil jaatī hai jaañ us ko

    jaatā hai agar koī be-jān madīne meñ

    'bahzād' guzarte haiñ yuuñ ziist ke din mere

    maiñ hind meñ rahtā huuñ hai jaan madīne meñ

    har dard ka hota hai darman madine mein

    KHaliq ka bhi hota hai irfan madine mein

    KHak-e-dar-e-aqdas par rakhti hai jabin duniya

    is tarah nikalte hain arman madine mein

    iman ki fazaen hain iman ki hawaen hain

    hota hai gharaz kaamil iman madine mein

    wahdat ki wahan tabish rahmat ki wahan barish

    baKHshish ka hamari hai saman madine mein

    ye mera aqida hai ye dil ka aqida hai

    hoti hai har ek mushkil aasan madine mein

    phir jate hain din us ke mil jati hai jaan us ko

    jata hai agar koi be-jaan madine mein

    'bahzad' guzarte hain yun zist ke din mere

    main hind mein rahta hun hai jaan madine mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now