ek main hi nahin un par qurban zamana hai
ek main hi nahin un par qurban zamana hai
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
ik maiñ hī nahīñ un par qurbān zamāna hai
jo rabb-e-do-ālam kā mahbūb-e-yagāna hai
kal jis ne hameñ pul se ḳhud paar lagānā hai
zohra kā vo baabā hai sibtain kā naanā hai
us hāshmī dūlhā par kaunain ko maiñ vārūñ
jo husn-o-shamā.il meñ yaktā-e-zamāna hai
izzat se na mar jaa.eñ kyoñ nām-e-mohamād par
ham ne kisī din yuuñ bhī duniyā se to jaanā hai
aao dar-e-zohra par phailā.e hue dāman
hai nasl karīmoñ kī laj-pāl gharānā hai
huuñ shāh-e-madīna kī maiñ pusht-panāhī meñ
kyā is kī mujhe parvā dushman jo zamāna hai
ye kah ke dar-e-haq se lī maut meñ kuchh mohlat
mīlād kī aamad hai mahfil ko sajānā hai
qurbān us aaqā par kal hashr ke din jis ne
is ummat-e-āsī ko kamlī meñ chhupānā hai
sau baar agar tauba TuuTī bhī to hairat kyā
baḳhshish kī rivāyat meñ tauba to bahāna hai
har vaqt vo haiñ merī duniyā-e-tasavvur meñ
ai shauq kahīñ ab to aanā hai na jaanā hai
pur-nūr sī rāheñ haiñ gumbad pe nigāheñ haiñ
jalve bhī anokhe haiñ manzar bhī suhānā hai
ham kyoñ na kaheñ un se rūdād-e-alam apnī
jab un kā kahā ḳhud bhī allāh ne maanā hai
ek main hi nahin un par qurban zamana hai
jo rabb-e-do-alam ka mahbub-e-yagana hai
kal jis ne hamein pul se KHud par lagana hai
zohra ka wo baba hai sibtain ka nana hai
us hashmi dulha par kaunain ko main warun
jo husn-o-shamail mein yakta-e-zamana hai
izzat se na mar jaen kyon nam-e-mohamad par
hum ne kisi din yun bhi duniya se to jaana hai
aao dar-e-zohra par phailae hue daman
hai nasl karimon ki laj-pal gharana hai
hun shah-e-madina ki main pusht-panahi mein
kya is ki mujhe parwa dushman jo zamana hai
ye kah ke dar-e-haq se li maut mein kuchh mohlat
milad ki aamad hai mahfil ko sajaana hai
qurban us aaqa par kal hashr ke din jis ne
is ummat-e-asi ko kamli mein chhupana hai
sau bar agar tauba TuTi bhi to hairat kya
baKHshish ki riwayat mein tauba to bahana hai
har waqt wo hain meri duniya-e-tasawwur mein
ai shauq kahin ab to aana hai na jaana hai
pur-nur si rahen hain gumbad pe nigahen hain
jalwe bhi anokhe hain manzar bhi suhana hai
hum kyon na kahen un se rudad-e-alam apni
jab un ka kaha KHud bhi allah ne mana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.