ek rind hai aur midhat-e-sultan-e-madina
ik rind hai aur mid.hat-e-sultān-e-madīna
haañ koī nazar rahmat-e-sultān-e-madīna
tū sub.h-e-azal ā.ina-e-husn-e-azal bhī
ai salle-alā sūrat-e-sultān-e-madīna
ai ḳhāk-e-madīna tirī galiyoñ ke tasadduq
tū ḳhuld hai tū jannat-e-sultān-e-madīna
zāhir meñ ġharīb-ul-ġhurabā phir bhī ye aalam
shāhoñ se sivā satvat-e-sultān-e-madīna
is tarah ki har saañs ho masrūf-e-ibādat
dekhūñ maiñ dar-e-daulat-e-sultān-e-madīna
kaunain kā ġham yād-e-ḳhudā dard-e-shafā.at
daulat hai yahī daulat-e-sultān-e-madīna
is ummat-e-āsī se na muñh pher ḳhudāyā
nāzuk hai bahut ġhairat-e-sultān-e-madīna
ai jaan ba-lab āmada hushiyār ḳhabar-dār
vo sāmne haiñ hazrat-e-sultān-e-madīna
kuchh aur nahīñ kaam 'jigar' mujh ko kisī se
kaafī hai bas ik nisbat-e-sultān-e-madīna
ek rind hai aur midhat-e-sultan-e-madina
han koi nazar rahmat-e-sultan-e-madina
tu subh-e-azal aaina-e-husn-e-azal bhi
ai salle-ala surat-e-sultan-e-madina
ai KHak-e-madina teri galiyon ke tasadduq
tu KHuld hai tu jannat-e-sultan-e-madina
zahir mein gharib-ul-ghuraba phir bhi ye aalam
shahon se siwa satwat-e-sultan-e-madina
is tarah ki har sans ho masruf-e-ibaadat
dekhun main dar-e-daulat-e-sultan-e-madina
kaunain ka gham yaad-e-KHuda dard-e-shafaat
daulat hai yahi daulat-e-sultan-e-madina
is ummat-e-asi se na munh pher KHudaya
nazuk hai bahut ghairat-e-sultan-e-madina
ai jaan ba-lab aamada hushiyar KHabar-dar
wo samne hain hazrat-e-sultan-e-madina
kuchh aur nahin kaam 'jigar' mujh ko kisi se
kafi hai bas ek nisbat-e-sultan-e-madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.