jahan rauza-e-pak-e-KHair-ul-wara hai wo jannat nahin hai to phir aur kya hai
jahan rauza-e-pak-e-KHair-ul-wara hai wo jannat nahin hai to phir aur kya hai
Iqbal Azeem
MORE BYIqbal Azeem
jahāñ rauza-e-pāk-e-ḳhair-ul-varā hai vo jannat nahīñ hai to phir aur kyā hai
kahāñ maiñ kahāñ ye madīne kī galiyāñ ye qismat nahīñ hai to phir aur kyā hai
mohammad kī azmat ko kyā pūchhte ho ki vo sāhib-e-qāb-e-qausain Thahre
bashar kī sar-e-arsh mehmāñ-navāzī ye azmat nahīñ hai to phir aur kyā hai
jo aasī ko dāman meñ apne chhupā le jo dushman ko bhī zaḳhm khā kar duā de
use aur kyā naam degā zamāna vo rahmat nahīñ hai to phir aur kyā hai
shafā.at qayāmat kī taabe nahīñ hai ye chashma to roz-e-azal se hai jaarī
ḳhatā-kār bandoñ pe lutf-e-musalsal shafā.at nahīñ hai to phir aur kyā hai
qayāmat kā ik din muayyan hai lekin hamāre liye har nafas hai qayāmat
madīne se ham jāñ-nisāroñ kī duurī qayāmat nahīñ hai to phir aur kyā hai
tum 'iqbāl' ye na.at kah to rahe ho magar ye bhī sochā ki kyā kar rahe ho
kahāñ tum kahāñ mad.h-e-mamdūh-e-yazdāñ ye jur.at nahīñ hai to phir aur kyā hai
jahan rauza-e-pak-e-KHair-ul-wara hai wo jannat nahin hai to phir aur kya hai
kahan main kahan ye madine ki galiyan ye qismat nahin hai to phir aur kya hai
mohammad ki azmat ko kya puchhte ho ki wo sahib-e-qab-e-qausain Thahre
bashar ki sar-e-arsh mehman-nawazi ye azmat nahin hai to phir aur kya hai
jo aasi ko daman mein apne chhupa le jo dushman ko bhi zaKHm kha kar dua de
use aur kya nam dega zamana wo rahmat nahin hai to phir aur kya hai
shafaat qayamat ki tabe nahin hai ye chashma to roz-e-azal se hai jari
KHata-kar bandon pe lutf-e-musalsal shafaat nahin hai to phir aur kya hai
qayamat ka ek din muayyan hai lekin hamare liye har nafas hai qayamat
madine se hum jaan-nisaron ki duri qayamat nahin hai to phir aur kya hai
tum 'iqbaal' ye nat kah to rahe ho magar ye bhi socha ki kya kar rahe ho
kahan tum kahan madh-e-mamduh-e-yazdan ye jurat nahin hai to phir aur kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.