jis ka mushtaq hai KHud arsh-e-barin aaj ki raat
jis kā mushtāq hai ḳhud arsh-e-barīñ aaj kī raat
umm-e-hānī ke vo ghar meñ hai makīñ aaj kī raat
aañkh meñ arz-e-tamannā kī jhalak lab pe darūd
aa.e is shaan se jibrīl-e-amīñ aaj kī raat
saare nabiyoñ ke haiñ jhurmuT meñ nabī-e-āḳhir
qābil-e-dīd hai aqsā kī zamīñ aaj kī raat
nuur kī gard uḌātā huā pahuñchā jo burāq
rahguzar ban ga.ī tāroñ kī jabīñ aaj kī raat
ik maqām aaya ki jibrīl kā bhī saath chhuTā
vo haiñ aur silsila-e-nūr-e-mubīñ aaj kī raat
ālam-e-quds ke asrār koī kyā jaane
vo hī vo haiñ na zamāñ hai na zamīñ aaj kī raat
muskurā.e jo nabī dekh ke jannat kī taraf
aur bhī ho ga.ī firdaus hasīñ aaj kī raat
jis ka mushtaq hai KHud arsh-e-barin aaj ki raat
umm-e-hani ke wo ghar mein hai makin aaj ki raat
aankh mein arz-e-tamanna ki jhalak lab pe darud
aae is shan se jibril-e-amin aaj ki raat
sare nabiyon ke hain jhurmuT mein nabi-e-aKHir
qabil-e-did hai aqsa ki zamin aaj ki raat
nur ki gard uData hua pahuncha jo buraq
rahguzar ban gai taron ki jabin aaj ki raat
ek maqam aaya ki jibril ka bhi sath chhuTa
wo hain aur silsila-e-nur-e-mubin aaj ki raat
aalam-e-quds ke asrar koi kya jaane
wo hi wo hain na zaman hai na zamin aaj ki raat
muskurae jo nabi dekh ke jannat ki taraf
aur bhi ho gai firdaus hasin aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.