jo aaKHiri nabi hai qadir-o-qadim ka
jo āḳhirī nabī hai qadīr-o-qadīm kā
aaya hai nuur le ke ra.ūfur-rahīm kā
us kī zabāñ hai asl meñ allāh kī zabāñ
lā-raib vo safīr hai rabb-e-‘azīm kā
baḳhshī ga.ī hai us ko zamāne kī sarvarī
hākim hai kā.enāt-e-samī'un-'alīm kā
dosh-e-sabā pe aa.e jo paiġhambar-e-bahār
bazm-e-chaman meñ raqs huā hai nasīm kā
allāh se milā hai jab allāh kā habīb
sab raaz khul gayā hai alif-lām-mīm kā
maddāh ahl-e-dīñ bhī haiñ kāfir bhī mo'tarif
faizān hai ye aap ke lutf-e-amīm kā
tauhīd ke tarāne 'anādil ne gaa.e haiñ
mahkā hai phuul phuul meñ jalva shamīm kā
hairān falsafī haiñ suḳhan-dāñ bhī dang haiñ
ye mo'jiza hai aap kī tab’-e-salīm kā
vo ik jhalak thī nūr-e-payambar kī tuur par
maqsad jalā hai jis meñ nigāh-e-kalīm kā
dil ke hirā meñ sham’-e-risālat hai nūr-bār
'zauqī' pe ye karam hai rasūl-e-karīm kā
jo aaKHiri nabi hai qadir-o-qadim ka
aaya hai nur le ke raufur-rahim ka
us ki zaban hai asl mein allah ki zaban
la-raib wo safir hai rabb-e-‘azim ka
baKHshi gai hai us ko zamane ki sarwari
hakim hai kaenat-e-sami'un-'alim ka
dosh-e-saba pe aae jo paighambar-e-bahaar
bazm-e-chaman mein raqs hua hai nasim ka
allah se mila hai jab allah ka habib
sab raaz khul gaya hai alif-lam-mim ka
maddah ahl-e-din bhi hain kafir bhi mo'tarif
faizan hai ye aap ke lutf-e-amim ka
tauhid ke tarane 'anadil ne gae hain
mahka hai phul phul mein jalwa shamim ka
hairan falsafi hain suKHan-dan bhi dang hain
ye mo'jiza hai aap ki tab’-e-salim ka
wo ek jhalak thi nur-e-payambar ki tur par
maqsad jala hai jis mein nigah-e-kalim ka
dil ke hira mein sham’-e-risalat hai nur-bar
'zauqi' pe ye karam hai rasul-e-karim ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.