kab tak rahe sine mein tamanna-e-madina
kab tak rahe siina meñ tamannā-e-madīna
kab tak dil-e-betāb kahe haa.e madīna
mar jā.ūñ madīne meñ madīne meñ lahad ho
le jā.ūñ lahad meñ maiñ tamannā-e-madīna
aa baiTho mire dil meñ ki dil arsh-e-barīñ hai
tum chāho to siina mirā ban jaa.e madīna
yā-rab mire dil meñ rahe yasrib kī tamanna
yā-rab mire sar meñ rahe saudā-e-madīna
ai chashm-e-tasavvur tujhe itnā hī bahut hai
ghar baiThe nazar meñ mirī aa jaa.e madīna
'sā.il' kī tamanna hai shab-o-roz ilāhī
har dam mire dil meñ rahe saudā-e-madīna
kab tak rahe sina mein tamanna-e-madina
kab tak dil-e-betab kahe hae madina
mar jaun madine mein madine mein lahad ho
le jaun lahad mein main tamanna-e-madina
aa baiTho mere dil mein ki dil arsh-e-barin hai
tum chaho to sina mera ban jae madina
ya-rab mere dil mein rahe yasrib ki tamanna
ya-rab mere sar mein rahe sauda-e-madina
ai chashm-e-tasawwur tujhe itna hi bahut hai
ghar baiThe nazar mein meri aa jae madina
'sail' ki tamanna hai shab-o-roz ilahi
har dam mere dil mein rahe sauda-e-madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.