kabhi badrudduja dekha kabhi shamsuzzuha dekha

kabhi badrudduja dekha kabhi shamsuzzuha dekha
Zauqi Muzaffar Nagari
MORE BYZauqi Muzaffar Nagari
kabhī badruddujā dekhā kabhī shamsuzzuhā dekhā
ba-qadr-e-zarf maiñ ne jalva-e-nūrul-hudā dekhā
nigāh-e-‘aql se to paikar-e-ḳhair-ul-varā dekhā
guzar kar sarhad-e-idrāk se kyā jaane kyā dekhā
ḳhudā se kuchh ta'alluq thā na apnī āshnā.ī thī
nabī ke faiz se maiñ ne jamāl-e-kibriyā dekhā
rah-e-zauq-e-talab meñ ek aisā bhī maqām aaya
nazar jis samt uTThī mustafā hī mustafā dekhā
bahāl-e-jazb-o-mastī jab liyā nām-e-nabī maiñ ne
to har pahnā.ī ko pahne hue sall-e-'alā dekhā
chaman kī sūkhtī shāḳhoñ ne jab un ko pukārā hai
bahāroñ ke payambar ko sar-e-dosh-e-sabā dekhā
añdheroñ kī chhaTā.ī se ujāle kar diye paidā
jo nūrānī samundar ne ba-altāf-o-'atā dekhā
kabhī yādoñ ke āñgan meñ jo chamkā nūr-e-sub.hānī
muñDeroñ par harīm-e-dil kī ḳhurshīd-e-hirā dekhā
nigāheñ dhul ga.iiñ jab 'ishq ke āb-e-musaffā se
habīb-e-kibriyā ko sar-basar sidq-o-safā dekhā
shabīh-e-rahmat-e-daurāñ utar aa.ī hai āñkhoñ meñ
ba-zauq-e-dīd jab ā.īna-e-ḳhair-ul-varā dekhā
fanā ho kar huā āzād jab qaid-e-‘anāsir se
vujūd-e-rūh par maujūd ehrām-e-baqā dekhā
mujhe pahchān ai dāroġha-e-firdaus-e-rabbānī
maiñ vo huuñ pyaar se jis ko nabī ne bārhā dekhā
chale aa.e haiñ ḳhud zahmat-zadoñ meñ rahmat-e-'ālam
jo ummat ko unhoñ ne ibtilā meñ mubtalā dekhā
rasūl-e-ḳhair ne aa kar miTāyā shar-pasandī ko
dayār-e-jabr meñ jab qahr-e-arbāb-e-ḳhatā dekhā
sadāqat kā qalam qirtās-e-īmāñ haq-rasā 'ādil
ḳhudā kī saltanat meñ 'adl-e-shāh-e-ambiyā dekhā
daraḳhshāñ ho gayā sūraj jo qānūn-e-risālat kā
shu’ūr-e-zīst kī nazroñ ne shahr-e-irtiqā dekhā
shah-e-dīñ kī huzūrī meñ gayā jab nā’t-go 'zauqī'
to us ne gumbad-e-ḳhazrā kā darvāza khulā dekhā
kabhi badrudduja dekha kabhi shamsuzzuha dekha
ba-qadr-e-zarf main ne jalwa-e-nurul-huda dekha
nigah-e-‘aql se to paikar-e-KHair-ul-wara dekha
guzar kar sarhad-e-idrak se kya jaane kya dekha
KHuda se kuchh ta'alluq tha na apni aashnai thi
nabi ke faiz se main ne jamal-e-kibriya dekha
rah-e-zauq-e-talab mein ek aisa bhi maqam aaya
nazar jis samt uTThi mustafa hi mustafa dekha
bahaal-e-jazb-o-masti jab liya nam-e-nabi main ne
to har pahnai ko pahne hue sall-e-'ala dekha
chaman ki sukhti shaKHon ne jab un ko pukara hai
bahaaron ke payambar ko sar-e-dosh-e-saba dekha
andheron ki chhaTai se ujale kar diye paida
jo nurani samundar ne ba-altaf-o-'ata dekha
kabhi yaadon ke aangan mein jo chamka nur-e-subhani
munDeron par harim-e-dil ki KHurshid-e-hira dekha
nigahen dhul gain jab 'ishq ke aab-e-musaffa se
habib-e-kibriya ko sar-basar sidq-o-safa dekha
shabih-e-rahmat-e-dauran utar aai hai aankhon mein
ba-zauq-e-did jab aaina-e-KHair-ul-wara dekha
fana ho kar hua aazad jab qaid-e-‘anasir se
wujud-e-ruh par maujud ehram-e-baqa dekha
mujhe pahchan ai darogha-e-firdaus-e-rabbani
main wo hun pyar se jis ko nabi ne barha dekha
chale aae hain KHud zahmat-zadon mein rahmat-e-'alam
jo ummat ko unhon ne ibtila mein mubtala dekha
rasul-e-KHair ne aa kar miTaya shar-pasandi ko
dayar-e-jabr mein jab qahr-e-arbab-e-KHata dekha
sadaqat ka qalam qirtas-e-iman haq-rasa 'adil
KHuda ki saltanat mein 'adl-e-shah-e-ambiya dekha
daraKHshan ho gaya suraj jo qanun-e-risalat ka
shu’ur-e-zist ki nazron ne shahr-e-irtiqa dekha
shah-e-din ki huzuri mein gaya jab na’t-go 'zauqi'
to us ne gumbad-e-KHazra ka darwaza khula dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.