kahan main kahan madh-e-zat-e-girami
kahāñ maiñ kahāñ mad.h-e-zāt-e-girāmī
na 'sa.dī' na 'rūmī' na 'qudsī' na 'jāmī'
pasīne-pasīne huā jā rahā huuñ
kahāñ ye zabāñ aur kahāñ nām-e-nāmī
salām us shahanshāh-e-har-do-sarā par
darūd us imām-e-saf-e-ambiyā par
payāmī to be-shak sabhī mohtaram haiñ
magar allah allāh ḳhusūsī payāmī
falak se zamīñ tak hai jashn-e-charāġhāñ
ki tashrīf laate haiñ shāh-e-rasūlāñ
ḳhushā-jalva-e-māhtāb-e-mujassam
zahe āmad-e-āftāb-e-tamāmī
koī aisā haadī dikhā de to jāneñ
koī aisā mohsin batā de to jāneñ
kabhī dostoñ par nazar ehtisābī
kabhī dushmanoñ se bhī shīrīñ kalāmī
itā.at ke iqrār bhī har qadam par
shafā'at kā iqrār bhī har nazar meñ
usūlan ḳhatāoñ pe tambīh lekin
mizājan ḳhatā-kār bandoñ ke haamī
ye aañsū jo āñkhoñ se merī ravāñ haiñ
atā-e-shahanshāh-e-kaun-o-makāñ haiñ
mujhe mil gayā jām-e-sahbā-e-kausar
mire kaam aa.ī mirī tishna-kāmī
faqīroñ ko kyā kaam tabl-o-alam se
gadāoñ ko kyā fikr jāh-o-hasham kī
abāoñ qabāoñ kā maiñ kyā karūñgā
'atā ho gayā mujh ko tāj-e-ġhulāmī
unheñ sidq-e-dil se bulā ke to dekho
nadāmat ke aañsū bahā ke to dekho
liye jaao uqbā meñ nām-e-mohamād
shafā'at kā zāmin hai ism-e-girāmī
kahan main kahan madh-e-zat-e-girami
na 'sadi' na 'rumi' na 'qudsi' na 'jami'
pasine-pasine hua ja raha hun
kahan ye zaban aur kahan nam-e-nami
salam us shahanshah-e-har-do-sara par
darud us imam-e-saf-e-ambiya par
payami to be-shak sabhi mohtaram hain
magar allah allah KHususi payami
falak se zamin tak hai jashn-e-charaghan
ki tashrif late hain shah-e-rasulan
KHusha-jalwa-e-mahtab-e-mujassam
zahe aamad-e-aftab-e-tamami
koi aisa hadi dikha de to jaanen
koi aisa mohsin bata de to jaanen
kabhi doston par nazar ehtisabi
kabhi dushmanon se bhi shirin kalami
itaat ke iqrar bhi har qadam par
shafa'at ka iqrar bhi har nazar mein
usulan KHataon pe tambih lekin
mizajan KHata-kar bandon ke hami
ye aansu jo aankhon se meri rawan hain
ata-e-shahanshah-e-kaun-o-makan hain
mujhe mil gaya jam-e-sahba-e-kausar
mere kaam aai meri tishna-kaami
faqiron ko kya kaam tabl-o-alam se
gadaon ko kya fikr jah-o-hasham ki
abaon qabaon ka main kya karunga
'ata ho gaya mujh ko taj-e-ghulami
unhen sidq-e-dil se bula ke to dekho
nadamat ke aansu baha ke to dekho
liye jao uqba mein nam-e-mohamad
shafa'at ka zamin hai ism-e-girami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.