kijiye ab nigah-e-karam mustafa
kījiye ab nigāh-e-karam mustafā
varna khā jā.egā mujh ko ġham mustafā
jab nikalne lage merā dam mustafā
merī āñkheñ hoñ sū-e-haram mustafā
apne dar par bulā lījiyegā agar
merā miT jā.egā saarā ġham mustafā
saarā 'ālam banā aap hī ke liye
aap hī se haiñ lauh-o-qalam mustafā
mere dil meñ mohabbat kā dariyā bahe
ho na paidā kabhī mujh meñ ham mustafā
abr-e-rahmat madīne meñ barse na kyoñ
aap ke paḌ ga.e haiñ qadam mustafā
dīn-o-īmāñ kā dushman hai saarā jahāñ
ham ġharīboñ kā rakhiye bharam mustafā
pal meñ mash.hūr ho jaa.e 'firdaus' bhī
is pe ho aap kā gar karam mustafā
kijiye ab nigah-e-karam mustafa
warna kha jaega mujh ko gham mustafa
jab nikalne lage mera dam mustafa
meri aankhen hon su-e-haram mustafa
apne dar par bula lijiyega agar
mera miT jaega sara gham mustafa
sara 'alam bana aap hi ke liye
aap hi se hain lauh-o-qalam mustafa
mere dil mein mohabbat ka dariya bahe
ho na paida kabhi mujh mein hum mustafa
abr-e-rahmat madine mein barse na kyon
aap ke paD gae hain qadam mustafa
din-o-iman ka dushman hai sara jahan
hum gharibon ka rakhiye bharam mustafa
pal mein mashhur ho jae 'firdaus' bhi
is pe ho aap ka gar karam mustafa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.