Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kijiye rahm ai shah-e-madina

Behzad Lakhnavi

kijiye rahm ai shah-e-madina

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    kījiye raham ai shāh-e-madīna

    Duub na jaa.e dil safīna

    ham ko jo ġham hai to ye ġham hai

    dekhā nahīñ darbār-e-madīna

    aah bharī hijr-e-bat.hā meñ

    siikh liyā ye ham ne qarīna

    daulat-e-armāñ daulat-e-hasrat

    in se hai mamlū dil ḳhazīna

    us muqaddar us qismat

    dekh liyā jis ne bhī madīna

    yūñhī rasūloñ meñ shah-e-anvar

    jaise ḳhātam par ho nagīna

    sub.h-o-masā 'bahzād' kahe

    haa.e madīna vaa.e madīna

    kijiye raham ai shah-e-madina

    Dub na jae dil ka safina

    hum ko jo gham hai to ye gham hai

    dekha nahin darbar-e-madina

    aah bhari hijr-e-batha mein

    sikh liya ye hum ne qarina

    daulat-e-arman daulat-e-hasrat

    in se hai mamlu dil ka KHazina

    us ka muqaddar us ki qismat

    dekh liya jis ne bhi madina

    yunhi rasulon mein shah-e-anwar

    jaise KHatam par ho nagina

    subh-o-masa 'bahzad' kahe ja

    hae madina wae madina

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now