kise inkar ho sakta hai is raushan haqiqat se
kise inkār ho saktā hai is raushan haqīqat se
ki duniyā jagmagā uTThī tire nūr-e-risālat se
miTā dī dushmanī sadiyoñ kī e'jāz-e-sadāqat se
diloñ ko bhar diyā nūr-e-uḳhuvvat rang-e-vahdat se
'ajab andāz the un ke 'ajab e'jāz the un ke
jhukā diiñ sarkashoñ kī gardaneñ ā.īn-e-hikmat se
yahī hai hāsil-e-kaunain sarmāya mire dil kā
kabhī ḳhālī na ho yā-rab mohammad kī mohabbat se
misāl aadam se le kar aaj tak aisī nahīñ nahīñ miltī
ki yuuñ kaayā palaT dī ho kisī ne 'azm-o-himmat se
ḳhudārā jald pahuñchā dījiye mujh ko madīne meñ
dar-e-aqdas pe rakh duuñ maiñ jabīñ fart-e-‘aqīdat se
ta'ālallah hai pesh-e-nazar vo jalva-e-rā'nā
jagāyā jis kī tābish ne jahāñ ko ḳhvāb-e-ġhaflat se
jinheñ thā shikva-e-qismat vo apnī jholiyāñ bhar leñ
jamāl-e-ḳhulq-e-hazrat se kamāl-e-ādmiyyat se
mubārak āsmāñ vaalo mubārak ai zamīñ vaalo
zamāna raushnī letā hai un kī har hidāyat se
matā'-e-'ilm-o-hikmat kis qadar arzāñ huī yā-rab
falak vaale zamīñ ko dekhte haiñ saḳht hairat se
zahe-qismat sar-e-'mahvī' hai ab us āstāne par
baḌā rutba milā ik be-navā ko un kī mid.hat se
kise inkar ho sakta hai is raushan haqiqat se
ki duniya jagmaga uTThi tere nur-e-risalat se
miTa di dushmani sadiyon ki e'jaz-e-sadaqat se
dilon ko bhar diya nur-e-uKHuwwat rang-e-wahdat se
'ajab andaz the un ke 'ajab e'jaz the un ke
jhuka din sarkashon ki gardanen aain-e-hikmat se
yahi hai hasil-e-kaunain sarmaya mere dil ka
kabhi KHali na ho ya-rab mohammad ki mohabbat se
misal aadam se le kar aaj tak aisi nahin nahin milti
ki yun kaya palaT di ho kisi ne 'azm-o-himmat se
KHudara jald pahuncha dijiye mujh ko madine mein
dar-e-aqdas pe rakh dun main jabin fart-e-‘aqidat se
ta'alallah hai pesh-e-nazar wo jalwa-e-ra'na
jagaya jis ki tabish ne jahan ko KHwab-e-ghaflat se
jinhen tha shikwa-e-qismat wo apni jholiyan bhar len
jamal-e-KHulq-e-hazrat se kamal-e-admiyyat se
mubarak aasman walo mubarak ai zamin walo
zamana raushni leta hai un ki har hidayat se
mata'-e-'ilm-o-hikmat kis qadar arzan hui ya-rab
falak wale zamin ko dekhte hain saKHt hairat se
zahe-qismat sar-e-'mahwi' hai ab us aastane par
baDa rutba mila ek be-nawa ko un ki midhat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.