kyunkar na ho momin ko tamanna-e-madina
kyūñkar na ho momin ko tamannā-e-madīna
haiñ mālik-e-jannat chaman-ārā-e-madīna
tanvīr se māmūr hai har zarra-e-yasrib
dekho to sahī raunaq-e-sahrā-e-madīna
maddāh rahā aap kā har kāfir-o-momin
majmūa-e-aḳhlāq the maulā-e-madīna
afsurda diloñ par nazar-e-faiz-o-atā ho
ai bahr-e-karam ai chaman-arā-e-madīna
taqdīr chamak jā.egī yasrib kī fazā meñ
hai nūr-fazā shiddat-e-saudā-e-madīna
rauze kī ziyārat se sharaf pā.eñge zaa.er
khīñche liye jaatī hai tamnā-e-madīna
sar-chashma-e-tauhīd hai ye shahr-e-muqaddas
yaktā nazar aa.ī hameñ duniyā-e-madīna
fiqra hai chaman meñ ye anādil kī zabāñ par
har phuul se ḳhush-rang haiñ gulhā-e-madīna
jitnā bhī baḌhūñ shauq-e-liqā aur sivā ho
hai rāhat-e-dil josh-e-tamannā-e-madīna
is raah meñ darkār hai iḳhlās-o-aqīdat
gulshan nazar aaya hameñ sahrā-e-madīna
ho nok-e-qalam saf.ha-e-kāġhaz pe gul-afshāñ
maqsūd hai mad.h-e-chaman-ārā-e-madīna
paayā laqab ai 'dil' ye faqat hubb-e-nabī meñ
kahte haiñ farishte mujhe shaidā-e-madīna
kyunkar na ho momin ko tamanna-e-madina
hain malik-e-jannat chaman-ara-e-madina
tanwir se mamur hai har zarra-e-yasrib
dekho to sahi raunaq-e-sahra-e-madina
maddah raha aap ka har kafir-o-momin
majmua-e-aKHlaq the maula-e-madina
afsurda dilon par nazar-e-faiz-o-ata ho
ai bahr-e-karam ai chaman-ara-e-madina
taqdir chamak jaegi yasrib ki faza mein
hai nur-faza shiddat-e-sauda-e-madina
rauze ki ziyarat se sharaf paenge zaer
khinche liye jati hai tamna-e-madina
sar-chashma-e-tauhid hai ye shahr-e-muqaddas
yakta nazar aai hamein duniya-e-madina
fiqra hai chaman mein ye anadil ki zaban par
har phul se KHush-rang hain gulha-e-madina
jitna bhi baDhun shauq-e-liqa aur siwa ho
hai rahat-e-dil josh-e-tamanna-e-madina
is rah mein darkar hai iKHlas-o-aqidat
gulshan nazar aaya hamein sahra-e-madina
ho nok-e-qalam safha-e-kaghaz pe gul-afshan
maqsud hai madh-e-chaman-ara-e-madina
paya laqab ai 'dil' ye faqat hubb-e-nabi mein
kahte hain farishte mujhe shaida-e-madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.