madine ka safar hai aur main nam-dida nam-dida
madīne kā safar hai aur meñ nam-dīda nam-dīda
jabīñ afsurda afsurda qadam laġhzīda laġhzīda
chalā huuñ ek mujrim kī tarah maiñ jānib-e-taiba
nazar sharminda sharminda badan larzīda larzīda
kisī ke haath ne mujh ko sahārā de diyā varna
kahāñ maiñ aur kahāñ ye rāste pechīda pechīda
kahāñ maiñ aur kahāñ us rauza-e-aqdas kā nazzāra
nazar us samt uThtī hai magar duzdīda duzdīda
ġhulāmān-e-mohammad duur se pahchāne jaate haiñ
dil-e-girvīda girvīda sar-e-shorīda shorīda
madīne jā ke ham samjhe taqaddus kis ko kahte haiñ
havā pākīza pākīza fazā sanjīda sanjīda
basārat kho ga.ī lekin basīrat to salāmat hai
madīna ham ne dekhā hai magar nādīda nādīda
vahī 'iqbāl' jis ko naaz thā kal ḳhush-mizājī par
firāq-e-taiba meñ rahtā hai ab ranjīda ranjīda
madīne kā safar hai aur maiñ nam-dīda nam-dīda
jabīñ afsurda afsurda qadam larzīda larzīda
madine ka safar hai aur mein nam-dida nam-dida
jabin afsurda afsurda qadam laghzida laghzida
chala hun ek mujrim ki tarah main jaanib-e-taiba
nazar sharminda sharminda badan larzida larzida
kisi ke hath ne mujh ko sahaara de diya warna
kahan main aur kahan ye raste pechida pechida
kahan main aur kahan us rauza-e-aqdas ka nazzara
nazar us samt uThti hai magar duzdida duzdida
ghulaman-e-mohammad dur se pahchane jate hain
dil-e-girwida girwida sar-e-shorida shorida
madine ja ke hum samjhe taqaddus kis ko kahte hain
hawa pakiza pakiza faza sanjida sanjida
basarat kho gai lekin basirat to salamat hai
madina hum ne dekha hai magar nadida nadida
wahi 'iqbaal' jis ko naz tha kal KHush-mizaji par
firaq-e-taiba mein rahta hai ab ranjida ranjida
madine ka safar hai aur main nam-dida nam-dida
jabin afsurda afsurda qadam larzida larzida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.