madine ki zamin bhi aasman hai
madīne kī zamīñ bhī āsmāñ hai
jo zarra hai vo mehr-e-zau-fishāñ hai
ḳhudā ke baa'd le nām-e-mohamād
mohammad bhī ḳhudā ke darmiyāñ hai
madīne kā safar aur itnā āsāñ
na jaane kaun mīr-e-kārvāñ hai
tamannā-e-huzūrī rakhne vaale
ye mahjūrī bhī shāyad imtihāñ hai
ziyārat-gāh-e-mahbūb-e-ḳhudā meñ
nazar betāb hai dil shādmāñ hai
farishte hoñ ki insāñ mo'tarif haiñ
mohammad tājdār-e-do-jahāñ hai
do-ālam kī haqīqat dekhtā huuñ
vo ruḳh ā.īna-e-kaun-o-makāñ hai
mirā ye haal hai hijr-e-nabī meñ
nafas kī āmad-o-shud bhī garāñ hai
ḳhushā ye mahfil-e-mīlād-e-hazrat
ki is mahfil meñ 'nudrat' na.at-ḳhvāñ hai
madine ki zamin bhi aasman hai
jo zarra hai wo mehr-e-zau-fishan hai
KHuda ke ba'd le nam-e-mohamad
mohammad bhi KHuda ke darmiyan hai
madine ka safar aur itna aasan
na jaane kaun mir-e-karwan hai
tamanna-e-huzuri rakhne wale
ye mahjuri bhi shayad imtihan hai
ziyarat-gah-e-mahbub-e-KHuda mein
nazar betab hai dil shadman hai
farishte hon ki insan mo'tarif hain
mohammad tajdar-e-do-jahan hai
do-alam ki haqiqat dekhta hun
wo ruKH aaina-e-kaun-o-makan hai
mera ye haal hai hijr-e-nabi mein
nafas ki aamad-o-shud bhi garan hai
KHusha ye mahfil-e-milad-e-hazrat
ki is mahfil mein 'nudrat' nat-KHwan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.