mahbub hain hamare nabi zul-jalal ke
mahbūb haiñ hamāre nabī zul-jalāl ke
tauqīr un kī aa'lā hai rutbe kamāl ke
lā'l-o-guhar kā zikr vo karte nahīñ kabhī
zarre 'atā hue jinheñ un ke ni'āl ke
qismat pe un kī merī bhī qismat nisār hai
jin ko nabī ne rakkhā hai qadmoñ meñ Daal ke
sadqa agar na miltā use husn-e-shāh kā
charche na hote aaj yuuñ husn-e-hilāl ke
mujh ko hisār-e-lutf meñ rakhte haiñ mustafā
haiñ duur mujh se is liye lamhe zavāl ke
apne to apne kahte haiñ aġhyār bhī yahī
atvār ḳhūb-rū haiñ shah-e-ḳhush-ḳhisāl ke
aate haiñ jis meñ har ghaḌī sardār-e-ambiyā
girvīda ham bhī haiñ usī raushan ḳhayāl ke
ho jaa.e fan pe māh-e-'arab kī jo ik nazar
ash'ār naa't ke hoñ mire bhī kamāl ke
phirtā hai le ke hijr kā ġham dar-ba-dar huzūr
'nāzāñ' ko bhī 'atā kareñ lamhe visāl ke
mahbub hain hamare nabi zul-jalal ke
tauqir un ki aa'la hai rutbe kamal ke
la'l-o-guhar ka zikr wo karte nahin kabhi
zarre 'ata hue jinhen un ke ni'al ke
qismat pe un ki meri bhi qismat nisar hai
jin ko nabi ne rakkha hai qadmon mein Dal ke
sadqa agar na milta use husn-e-shah ka
charche na hote aaj yun husn-e-hilal ke
mujh ko hisar-e-lutf mein rakhte hain mustafa
hain dur mujh se is liye lamhe zawal ke
apne to apne kahte hain aghyar bhi yahi
atwar KHub-ru hain shah-e-KHush-KHisal ke
aate hain jis mein har ghaDi sardar-e-ambiya
girwida hum bhi hain usi raushan KHayal ke
ho jae fan pe mah-e-'arab ki jo ek nazar
ash'ar na't ke hon mere bhi kamal ke
phirta hai le ke hijr ka gham dar-ba-dar huzur
'nazan' ko bhi 'ata karen lamhe visal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.