mahshar mein mil sakega sahaara rasul ka
mahshar meñ mil sakegā sahārā rasūl kā
apnā liyā jo ham ne tarīqa rasūl kā
ik mo'jiza thā zaat kā īmān pe dalīl
sab DhūñDte rahe na thā saaya rasūl kā
duniyā banī usī kī banī us kī āḳhirat
apnā liyā hai jis ne tarīqa rasūl kā
hai aarzū yahī ki madīne ko jā sakūñ
aur dekhnā nasīb ho rauza rasūl kā
gūñjī bilāl kī na madīne meñ jab azaañ
ghaḌiyāñ thamīñ ki chup thā dulārā rasūl kā
har chiiz meñ tavakkul-o-taqvā kī thī jhalak
jaama rasūl kā ki bichhaunā rasūl kā
baḳhshish hogī tabhī jo shafā'at mile mujhe
vā'da ḳhudā kā par ho irāda rasūl kā
puurī ye kā.enāt sitāroñ se hai bharī
sab se buland-baḳht sitāra rasūl kā
go hai gunāhgār hai baḳhshish kī aas par
'shamsa' ko sirf ek sahārā rasūl kā
mahshar mein mil sakega sahaara rasul ka
apna liya jo hum ne tariqa rasul ka
ek mo'jiza tha zat ka iman pe dalil
sab DhunDte rahe na tha saya rasul ka
duniya bani usi ki bani us ki aaKHirat
apna liya hai jis ne tariqa rasul ka
hai aarzu yahi ki madine ko ja sakun
aur dekhna nasib ho rauza rasul ka
gunji bilal ki na madine mein jab azan
ghaDiyan thamin ki chup tha dulara rasul ka
har chiz mein tawakkul-o-taqwa ki thi jhalak
jama rasul ka ki bichhauna rasul ka
baKHshish hogi tabhi jo shafa'at mile mujhe
wa'da KHuda ka par ho irada rasul ka
puri ye kaenat sitaron se hai bhari
sab se buland-baKHt sitara rasul ka
go hai gunahgar hai baKHshish ki aas par
'shamsa' ko sirf ek sahaara rasul ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.