Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kyon dil jigar hon rahin-e-madina

Behzad Lakhnavi

na kyon dil jigar hon rahin-e-madina

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    na kyoñ dil jigar hoñ rahīn-e-madīna

    falak hai falak hai zamīn-e-madīna

    do-ālam na kyoñ apne sar ko jhukā.e

    do-ālam hai zer-e-nagīn-e-madīna

    tirī azmatoñ par zamāna tasadduq

    maiñ qurbān tujh par makīn-e-madīna

    hamārī bhī nazroñ ko sairāb kar de

    idhar bhī karam mah-jabīn-e-madīna

    sitāre to kyā chāñd ko sharm aa.e

    agar dekh le vo hasīn-e-madīna

    jo qismat se pā.ūñ vahāñ tak rasā.ī

    to palkoñ se jhāḌūñ zamīn-e-madīna

    tujhī meñ maza hai tujhī meñ taḌap hai

    na ai ġham-e-dil-nashīn-e-madīna

    agar koī pūchhe to ye saaf kah duuñ

    mirā diiñ hai 'bahzād' dīn-e-madīna

    na kyon dil jigar hon rahin-e-madina

    falak hai falak hai zamin-e-madina

    do-alam na kyon apne sar ko jhukae

    do-alam hai zer-e-nagin-e-madina

    teri azmaton par zamana tasadduq

    main qurban tujh par makin-e-madina

    hamari bhi nazron ko sairab kar de

    idhar bhi karam mah-jabin-e-madina

    sitare to kya chand ko sharm aae

    agar dekh le wo hasin-e-madina

    jo qismat se paun wahan tak rasai

    to palkon se jhaDun zamin-e-madina

    tujhi mein maza hai tujhi mein taDap hai

    na ja ai gham-e-dil-nashin-e-madina

    agar koi puchhe to ye saf kah dun

    mera din hai 'bahzad' din-e-madina

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now